بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِۙ(1)
(1) Ay Rasool! Kahe dijiye keh mai insaano ke Parwardigaar ki panah chahta hu.
مَلِكِ النَّاسِۙ(2)
(2) Jo tamaam logo’n ka maalik aur badshah hai.
اِلٰهِ النَّاسِۙ(3)
(3) Saare insaano ka Maabood hai.
مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ ۙ الْخَنَّاسِ ۙ(4)
(4) Shaitaani was-wasey ke sharr se jo naam'e Khuda soon kar peechhe hatt jaata hai.
الَّذِىْ يُوَسْوِسُ فِىْ صُدُوْرِ النَّاسِۙ(5)
(5) Aur jo logo’n ke dilo’n mein was-wasey paiyda karaata hai.
مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ(6)
(6) Woh jinnaato mein se ho ya insaano mein se.