EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
اَللّٰهُمَّ مَنْ تَعَبَّاَ وَ تَهَيَّاَ
Khudaaya agar kisi nay bhi tayyaari ki hai
وَ اَعَدَّ وَ اسْتَعَدَّ
ya aamaadgi ki hai ya ehtimaam aur intizaam kiya hai
لِوِفَادَةٍ اِلٰى مَخْلُوْقٍ
kisi makhlooq ki baargaah mein haazir honay kay liye
رَجَاۤءَ رِفْدِهِ
taa kay us kay 'atiyyah aur us kay jaa'izah
وَ طَلَبَ نَاۤئِلِهِ وَ جَاۤئِزَتِهِ
o in'aam ko haasil kar lay
فَاِلَيْكَ يَا رَبِّ تَعْبِيَتِيْ وَ اسْتِعْدَادِيْ
to mein teri baargaah ki taraf tayyaari aur ehtimaam kay saath haazir ho raha hoon.
رَجَاۤءَ عَفْوِكَ
Teri ma'aafi ka ummeedwaar
وَ طَلَبَ نَاۤئِلِكَ وَ جَاۤئِزَتِكَ
aur teray jaa'izah-o-in'aam ka talabgaar hoon,
فَلَا تُخَيِّبْ دُعَاۤئِي
Khudaaya meri du'aa'on ko naa-ummeed nah karna
يَا مَنْ لَا يَخِيْبُ عَلَيْهِ سَاۤئِلٌ [السَّاۤئِلُ‏]
teri baargaah mein koi saa'il naa-ummeed nahin hota hai
وَ لَا يَنْقُصُهُ نَاۤئِلٌ
aur teri jazaa kam nahin hoti hai.
فَاِنِّيْ لَمْ اٰتِكَ ثِقَةً بِعَمَلٍ صَالِحٍ عَمِلْتُهُ
Mein kisi naik 'amal kay bharosay
وَ لَا لِوِفَادَةِ مَخْلُوْقٍ رَجَوْتُهُ
ya kisi makhlooq ki sifaarish kay sahaaray haazir nahin hua hoon
اَتَيْتُكَ مُقِرًّا عَلٰى نَفْسِيْ بِالْاِسَاۤءَةِ وَ الظُّلْمِ،
balkay mein apnay nafs kay baaray mein buraa'i aur gunaahon ka iqraar kartay huay
مُعْتَرِفًا بِاَنْ لَّا حُجَّةَ لِيْ وَ لَا عُذْرَ
is i'tiraaf kay saath haazir hua hoon kay meray paas nah koi daleel hai aur nah koi 'uzr hai.
اَتَيْتُكَ اَرْجُوْ عَظِيْمَ عَفْوِكَ
Teri 'Azeem ma'aafi ka ummeedwaar hoon jis kay zariyeh tu nay
الَّذِيْ عَفَوْتَ [عَلَوْتَ‏] بِهِ [عَلٰى‏] عَنِ الْخَاۤطِئِيْنَ [الْخَطَّاۤئِيْنَ‏]
khataakaaron ko ma'aaf kiya hai aur
فَلَمْ يَمْنَعْكَ طُوْلُ عُكُوْفِهِمْ عَلٰى عَظِيْمِ الْجُرْمِ
gunahgaaron ka musalsal baṛay baṛay jurm kartay rehnā tujhay is baat say rok nahin sakka hai
اَنْ عُدْتَ عَلَيْهِمْ بِالرَّحْمَةِ
kay tu un par mehrbaani karay
فَيَا مَنْ رَحْمَتُهُ وَاسِعَةٌ
ay woh Khuda jis ki rehmat wasee' hai
وَ عَفْوُهُ عَظِيْمٌ
aur jis ki maghfirat 'Azeem hai.
يَا عَظِيْمُ يَا عَظِيْمُ يَا عَظِيْمُ
Ay meray 'Azeem, ay meray Buzurg Khuda, ay meray baa-'azmat Khuda
لَا يَرُدُّ غَضَبَكَ اِلَّا حِلْمُكَ
teray ghazab ko siwaa'ay teray hilm kay koi rok nahin sakta hai
وَ لَا يُنْجِيْ مِنْ سَخَطِكَ اِلَّا التَّضَرُّعُ اِلَيْكَ
aur teri naaraazgi say siwaa'ay faryaad kay koi bachaa nahin sakta hai.
فَهَبْ لِيْ يَاۤ اِلٰهِيْ فَرَجًا
Mujhay apni qudrat-e-kaamilah say sukoon 'ataa farma
بِالْقُدْرَةِ الَّتِيْ تُحْيِيْ بِهَا مَيْتَ الْبِلَادِ،
jis kay zariyeh tu murdah shehron ko zindah karta hai
وَ لَا تُهْلِكْنِيْ غَمًّا حَتّٰى تَسْتَجِيْبَ لِيْ
aur mujhay kisi gham say halaak nah kar dena
وَ تُعَرِّفَنِي الْاِجَابَةَ فِي دُعَاۤئِي
yahan tak kay tu meri du'a qabool kar lay
وَ اَذِقْنِيْ طَعْمَ الْعَافِيَةِ اِلٰى مُنْتَهٰى اَجَلِيْ
aur mujhay us qabooliyat ko dikhlaa day mujhay tamaam zindagi 'aafiyat ka zaa'iqah 'ataa farmaana
وَ لَا تُشْمِتْ بِيْ عَدُوِّيْ
aur dushmanon ko ta'nay denay ka mawqa' nah dena,
وَ لَا تُسَلِّطْهُ عَلَيَّ
nah unhein meri gardan par
وَ لَا تُمَكِّنْهُ مِنْ عُنُقِيْ
musallat karna.
اَللّٰهُمَّ [اِلٰهِيْ‏] اِنْ وَضَعْتَنِيْ فَمَنْ ذَا الَّذِيْ يَرْفَعُنِي
Meray Khuda agar tu nay mujhay giraa diya to uṭhaanay waala koi nahin hai
وَ اِنْ رَفَعْتَنِيْ فَمَنْ ذَا الَّذِيْ يَضَعُنِيْ
aur agar tu nay buland kar diya to koi mujhay giraa nahin sakta hai.
وَ اِنْ اَهْلَكْتَنِيْ فَمَنْ ذَا الَّذِيْ يَعْرِضُ لَكَ فِي عَبْدِكَ
Agar tu nay halaak kar diya to kaun hai jo tujh say meray baaray mein sifaarish karay
اَوْ يَسْاَلُكَ عَنْ اَمْرِهِ،
ya meray ma'amalah kay baaray mein sawaal karay
وَ قَدْ عَلِمْتُ اَنَّهُ لَيْسَ فِي حُكْمِكَ ظُلْمٌ
mein jaanta hoon kay teray faislah mein koi zulm nahin hota hai
وَ لَا فِي نَقِمَتِكَ عَجَلَةٌ
aur teray 'azaab mein jaldi nahin hoti hai
وَ اِنَّمَا يَعْجَلُ مَنْ يَخَافُ الْفَوْتَ
kay jaldi woh karta hai jisay qabzah say nikal jaanay ka khatrah hota hai
وَ اِنَّمَا يَحْتَاجُ اِلَى الظُّلْمِ الضَّعِيْفُ
aur zulm woh karta hai jo khud kamzor hota hai.
وَ قَدْ تَعَالَيْتَ يَاۤ اِلٰهِيْ عَنْ ذٰلِكَ عُلُوًّا كَبِيرًا
Teri Zaat in baaton say bahut ziyadah buland-o-baalaa hai.
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَعُوْذُ بِكَ فَاَعِذْنِيْ
Khudaaya mein teri panaah chahta hoon mujhay panaah day day.
وَ اَسْتَجِيْرُ بِكَ فَاَجِرْنِيْ
Mein amaan ka talabgaar hoon mujhay amaan day day
وَ اَسْتَرْزِقُكَ فَارْزُقْنِيْ
Rozi chahta hoon mujhay rozi 'ataa farma.
وَ اَتَوَكَّلُ عَلَيْكَ فَاكْفِنِيْ
Mein tujh par bharosa karta hoon tu meray liye kaafi ho jaa
وَ اَسْتَنْصِرُكَ عَلٰى عَدُوِّيْ [عَدُوِّكَ‏] فَانْصُرْنِيْ
Mein dushman kay muqaablah mein tujh say madad chahta hoon lihaaza meri madad farma.
وَ اَسْتَعِيْنُ بِكَ فَاَعِنِّيْ
Mein i'aanat ka talabgaar hoon lihaaza i'aanat farma
وَ اَسْتَغْفِرُكَ يَاۤ اِلٰهِيْ فَاغْفِرْ لِيْ
Mein tujh say istighfaar karta hoon lihaaza mujhay ma'aaf kar day.
اٰمِيْنَ اٰمِيْنَ اٰمِيْنَ۔
Aameen aameen aameen