ENGLISH | اردو | Roman | Azerbaijani
🏠 🔍
يَا بَآرُّ يَا وَصُوْلُ
Ay neki karnay waalay Ay behtareen raabitah rakhnay waalay.
يَا شَاهِدَ كُلِّ غَاۤئِبٍ
Ay har ghaa'ib kay gawaah,
وَ يَا قَرِيْبُ غَيْرَ بَعِيْدٍ
har ek say qareeb,
وَ يَا غَالِبُ غَيْرَ مَغْلُوْبٍ
sab par ghaalib aanay waalay
وَ يَا مَنْ لَا يَعْلَمُ كَيْفَ هُوَ اِلَّا هُوَ
aur jis kay 'ilaawah haalaat ko koi nahin jaanta hai
يَا مَنْ لَا تُبْلَغُ قُدْرَتُهُ
aur nah koi us ki qudrat tak pohnch sakta hai.
اَسْاَلُكَ اللّٰهُمَّ بِاسْمِكَ الْمَكْنُوْنِ الْمَخْزُوْنِ
Mein tujh say sawaal karta hoon us naam kay hawaalay say jo posheedah khazaanah-e-qudrat mein hai
الْمَكْتُوْمِ عَمَّنْ شِئْتَ
aur har ek say chhipaa diya gaya hai.
الطَّاهِرِ الْمُطَهَّرِ الْمُقَدَّسِ
Paak-o-Paakeezah hai, Muqaddas hai,
النُّوْرِ التَّآمِّ
Noor hai, taam-o-kaamil hai
الْحَيِّ الْقَيُّوْمِ الْعَظِيْمِ
aur Hayy-o-Qayyoom 'Azeem hai,
نُوْرِ السَّمَاوَاتِ وَ نُوْرِ الْاَرَضِيْنَ
aasmanon ka noor zameenon ka noor hai
عَالِمِ الْغَيْبِ وَ الشَّهَادَةِ
aur 'aalim-e-ghaib-o-shuhood hai.
الْكَبِيْرِ الْمُتَعَالِ الْعَظِيْمِ
Ay Khudaay-e-Kabeer-o-Muta'aal-o-'Azeem,
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ۔
Mera sawaal yeh hai kay Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma.