(Is kay 'ilaawah Maghrib-o-'Ishaa kay darmiyaan Namaaz-e-Ghufaylah paṛhay jis ki do raka'atein hain pehli raka'at mein Surah Hamd kay ba'd Aayah 'Wa Zannoon' paṛhay.)
وَ ذَا النُّوْنِ اِذْ ذَهَبَ مُغَاضِبًا
Yaad karo Yuunus ko jab woh qawm kay darmiyaan say ghazabnaak ho kar
فَظَنَّ اَنْ لَنْ نَقْدِرَ عَلَيْهِ
baahar nikal ga'ay aur un ka khayaal yeh thaa kay hum un par koi sakhti nahin karein gay
فَنَادٰى فِي الظُّلُمَاتِ
lekin aakhir mein unhon nay shikam-e-Maahi ki taareekiyon say hamain aawaaz dee kay
اَنْ لَّاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ سُبْحَانَكَ
Khudaaya teray 'ilaawah koi Khuda nahin hai. Tu be-niyaaz hai.
اِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِيْنَ
Mein nay apnay oopar ziyaadati ki hai.
فَاسْتَجَبْنَا لَهُ وَ نَجَّيْنَاهُ مِنَ الْغَمِّ
To hum nay un ki du'a qabool kar lee aur unhein gham say nijaat day dee kay
وَ كَذٰلِكَ نُنْجِي الْمُؤْمِنِيْنَ ۔
hum isi tarah saahibaan-e-Imaan ko nijaat 'ataa kartay rehtay hain.
(Is kay ba'd apni haajat ko talab karay kay riwaayat mein waarid hua hai kay jo shakhs bhi is namaaz ko adaa kar kay apni haajat ko talab karay Parwardigaar us ki haajaton ko zaroor poora karay ga.)
وَعِنْدَهٗ مَفَاتِحُ الْغَيْبِ
Woh Khuda woh hai jis kay paas ghaib kay 'uloom hain
لَا يَعْلَمُهَاۤ اِلَّا هُوَؕ
jinhein us kay 'ilaawah koi nahin jaanta.
وَيَعْلَمُ مَا فِى الْبَرِّ وَالْبَحْرِؕ
Woh khushk-o-tar ki har cheez ko jaanta hai.
وَمَا تَسْقُطُ مِنْ وَّرَقَةٍ اِلَّا يَعْلَمُهَا
Darakht say girnay waalay har pattay ko jaanta hai.
وَلَا حَبَّةٍ فِىْ ظُلُمٰتِ الْاَرْضِ
Zameen kay andar chhipay huay daanon ko jaanta hai
وَلَا رَطْبٍ وَّلَا يَابِسٍ
aur us nay har khushk-o-tar ko
اِلَّا فِىْ كِتٰبٍ مُّبِيْنٍ(59)
Kitaab mein jam' kar diya hai.
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِمَفَاتِحِ الْغَيْبِ
Khudaaya mein tujh say ghaib kay un khazaanon kay waseelah say
الَّتِيْ لَا يَعْلَمُهَا اِلَّا اَنْتَ
sawaal kar raha hoon jin ko teray 'ilaawah koi nahin jaanta kay
اَنْ تُصَلِّيَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ وَ اَنْ .. تَفْعَلَ بِيْ كَذَا وَ كَذَا۔
Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma aur meray saath behtareen sulook farma.
اَللّٰهُمَّ اَنْتَ وَلِيُّ نِعْمَتِيْ
Khudaaya tu meri ne'maton ka Maalik
وَ الْقَادِرُ عَلٰى طَلِبَتِيْ
aur meray maqaasid ko poora karnay par Qaadir hai.
تَعْلَمُ حَاجَتِيْ
Tu meri haajaton ko jaanta hai.
فَاَسْاَلُكَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Mein tujh say Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) kay
عَلَيْهِ وَ عَلَيْهِمُ السَّلَامُ
haqq kay waseelah say sawaal karta hoon kay
لَمَّا قَضَيْتَهَا لِيْ۔
tu meri haajaton ko poora kar day.