بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Banaam Khudaay-e-Rahmaan-o-Raheem
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ
Saari ta'reef Allah kay liye hai
وَالْحَمْدُ حَقُّهٗ كَمَا يَسْتَحِقُّهٗ
keh hamd Allah ka haqq hai
حَمْدًا كَثِيْرًا
aur woh hamd-e-katheer ka haqqdaar hai.
وَّ اَعُوْذُ بِهٖ مِنْ شَرِّ نَفْسِىْ
Mein apnay nafs kay sharr say bachna chahta hoon keh
اِنَّ النَّفْسَ لَاَمَّارَةٌ بِالسُّوۤءِ
nafs buraa'iyon ka hukm denay waala hai
اِلَّا مَارَحِمَ رَبِّىْ
magar yeh kay Khuda rahm kar day.
وَ اَعُوْذُ بِهٖ مِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ
Mein us shaitaan kay sharr say panaah chahta hoon
الَّذِىْ يَزِيْدُنِىْ ذَنْبًا اِلٰى ذَنْبِىْ
jo gunaahon mein izaafah ka sabab bantaa hai.
وَ اَحْتَرِزُ بِهٖ مِنْ كُلِّ جَبَّارٍ فَاجِرٍ
Aur phir Khuda hi kay zariyeh har badkaar sarkash,
وَّ سُلْطَانٍ جَاۤئِرٍ
zaalim baadshah
وَّعَدُوٍّ قَاهِرٍ
aur be-rahm dushman say panaah maangta hoon.
اَللّٰهُمَّ اجْعَلْنِىْ مِنْ جُنْدِكَ
Parwardigaara mujhay apnay lashkar mein say qaraar day
فَاِنَّ جُنْدَكَ هُمُ الْغَالِبُوْنَ
keh tera lashkar ghaalib hai
وَاجْعَلْنِىْ مِنْ حِزْبِكَ
aur apnay giroh mein say qaraar day keh
فَاِنَّ حِزْبَكَ هُمُ الْمُفْلِحُوْنَ
tera giroh nijaat yaaftah hai
وَاجْعَلْنِىْ مِنْ اَوْلِيَاۤئِكَ
aur apnay doston mein say qaraar day keh
فَاِنَّ اَوْلِيَاۤئَكَ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَ لَا هُمْ يَحْزَنُوْنَ
teray doston kay liye khauf aur huzn nahin hai.
اَللّٰهُمَّ اَصْلِحْ لِىْ دِيْنِىْ
Parwardigaara meray deen ki islaah kar keh
فَاِنَّهٗ عِصْمَةُ اَمْرِىْ
woh meray kaamon ka muhaafiz hai
وَ اَصْلِحْ لِىْ اٰخِرَتِىْ
aur meri aakhirat ki islaah kar keh
فَاِنَّهَا دَارُ مَقَرِّىْ
woh meri aakhiri manzil hai
وَ اِلَيْهَا مِنْ مُجَاوَرَةِ اللِّئَامِ مَفَرِّىْ
aur dunya kay zaleelon ki hamsaayegi say panaah ki jagah hai.
وَاجْعَلِ الْحَيٰوةَ زِيَادَةً لِىْ فِىْ كُلِّ خَيْرٍ
Ma'bood! Meri hayaat ko nekiyon mein ziyaadati
وَالْوَفَاةَ رَاحَةً لِىْ مِنْ كُلِّ شَرٍّ
aur meri maut ko buraa'iyon say raahat ka zariyeh qaraar day.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ
Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil kar keh woh
خَاتَمِ النَّبِيِّيْنَ
anbiyaa kay Khaatim
وَ تَمَامِ عِدَّةِ الْمُرْسَلِيْنَ
aur mursaleen kay muhtamim hain.
وَ عَلٰى اٰلِهِ الطَّيِّبِيْنَ الطَّاهِرِيْنَ
Un ki Aal-e-Taahireen
وَ اَصْحَابِهِ الْمُنْتَجَبِيْنَ
aur as-haab-e-barguzeedah par rehmat naazil farma
وَ هَبْ لِىْ فِىْ الثُّلَثَاۤءِ ثَلَاثًا
aur mujhay Seh-shanbah kay din teen cheezein 'inaayat farma.
لَا تَدَعْ لِىْ ذَنْبًا اِلَّا غَفَرْتَهٗ
Meray saaray gunaahon ko ma'aaf kar day,
وَ لَا غَمًّا اِلَّا اَذْهَبْتَهٗ
saaray hamm-o-gham ko raf' kar day
وَلَا عَدُوًّا اِلَّا دَفَعْتَهُ
aur saaray dushmanon ko door kar day.
بِبِسْمِ اللهِ خَيْرِ الْاَسْمَاۤءِ
Mein teray naam kay sahaaray jo behtareen naam hai
بِسْمِ اللهِ رَبِّ الْاَرْضِ وَالسَّمَاۤءِ
aur teray sahaaray keh tu aasmanon aur zameenon ka Khaaliq-o-Maalik hai,
اَسْتَدْفِعُ كُلَّ مَكْرُوْهٍ اَوَّلُهٗ سَخَطُهٗ
un tamaam buri baaton say bachna chahta hoon
وَ اَسْتَجْلِبُ كُلَّ مَحْبُوْبٍ اَوَّلُهٗ رِضَاهُ
jin ki ibtidaa ghazab-e-kirdaar hai aur un tamaam achchaa'iyon ko haasil karna chahta hoon jin ki ibtidaa razaa-e-ilaahi hai.
فَاخْتِمْ لِىْ مِنْكَ بِالْغُفْرَانِ
Meri zindagi ka khaatimah maghfirat par farma.
يَا وَلِىَّ الْاِحْسَانِ۔
Ay Ehsaanaat kay Maalik