EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ هَبْ لِيَ الْغَدَاةَ رِضَاكَ
aur aaj ki subh mujhay apni razza 'ataa farmaa day,
وَ اَسْكِنْ قَلْبِيْ خَوْفَكَ
meray dil mein apna khauf paida kar day
وَ اقْطَعْهُ عَمَّنْ سِوَاكَ
aur usay har ek taraf say qat' kar day
حَتّٰى لَاۤ اَرْجُوْ وَ لَاۤ اَخَافَ اِلَّاۤ اِيَّاكَ
taa kay mein teray 'ilaawah nah kisi ka ummeedwaar banoon aur nah kisi say khaufzadah hoon
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ هَبْ لِيْ ثَبَاتَ الْيَقِيْنِ
aur mujhay yaqeen ka thabaat
وَ مَحْضَ الْاِخْلَاصِ
aur ikhlaas-e-kaamil 'ataa farma.
وَ شَرَفَ التَّوْحِيْدِ
Tawheed ka sharaf
وَ دَوَامَ الْاِسْتِقَامَةِ
hamesha ki istiqamat,
وَ مَعْدِنَ الصَّبْرِ
sabr ka ma'dan,
وَ الرِّضَا بِالْقَضَاۤءِ وَ الْقَدَرِ
qazaa-o-qadar par raazi rehnay ki tawfeeq 'ataa farma.
يَا قَاضِيَ حَوَاۤئِجِ السَّاۤئِلِيْنَ
Ay saari haajaton kay poora karnay waalay
يَا مَنْ يَعْلَمُ مَا فِيْ ضَمِيْرِ الصَّامِتِيْنَ
aur khaamosh logon kay haal-e-dil kay jaan'nay waalay
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِهِ،
Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اسْتَجِبْ دُعَاۤئِي
aur hamaari du'aa ko qabool farmaa lay
وَ اغْفِرْ ذَنْبِيْ
hamaaray gunaahon ko ma'aaf kar day
وَ اَوْسِعْ رِزْقِيْ
hamaaray rizq mein wus'at 'ataa farma
وَ اقْضِ حَوَاۤئِجِيْ فِي نَفْسِيْ
aur hamaari zaat kay baaray mein
وَ اِخْوَانِيْ فِيْ دِيْنِيْ وَ اَهْلِيْ
aur biraadaraan-e-deeni aur ahl-o-'ayaal kay baaray mein haajaton ko qabool farmaa lay.
اِلٰهِيْ طُمُوْحُ الْاٰمَالِ قَدْ خَابَتْ اِلَّا لَدَيْكَ
Khudaaya tamaam ummeedein teray 'ilaawah har ek kay saamnay naakaam ho jaati hain
وَ مَعَاكِفُ الْهِمَمِ قَدْ تَعَطَّلَتْ اِلَّا عَلَيْكَ
aur tamaam himmatein teri baargaah kay 'ilaawah mu'attal
وَ مَذَاهِبُ الْعُقُوْلِ قَدْ سَمَتْ اِلَّاۤ اِلَيْكَ
aur be-kaar ho jaati hain 'aql kay saaray raastay
فَاَنْتَ الرَّجَاۤءُ وَ اِلَيْكَ الْمُلْتَجَاُ
siwaa'ay teray band ho jaatay hain kay tu hi ummeedon ka markaz hai aur tu hi panaah gaah hai
يَاۤ اَكْرَمَ مَقْصُوْدٍ وَ اَجْوَدَ مَسْئُوْلٍ
Ay Kareem tareen maqsood aur Kareem tareen mas'ool
هَرَبْتُ اِلَيْكَ بِنَفْسِيْ
mein teri baargaah mein bhaag kar aaya hoon kay
يَا مَلْجَاَ الْهَارِبِيْنَ، بِاَثْقَالِ الذُّنُوْبِ
tu har bhaag kar aanay waalay ki panaah gaah hai. Apnay gunaahon ka bojh
اَحْمِلُهَا عَلٰى ظَهْرِيْ
apni pusht par laad kar laaya hoon.
لَاۤ اَجِدُ لِيْ اِلَيْكَ شَافِعًا
Mera koi sifaarish karnay waala nahin hai
سِوٰى مَعْرِفَتِيْ بِاَنَّكَ اَقْرَبُ مَنْ رَجَاهُ الطَّالِبُوْنَ
siwaa'ay is ma'rifat kay kay tu sab say ziyadah qareeb hai jis say talabgaar ummeedein waabastah kartay hain
وَ اَمَّلَ مَا لَدَيْهِ الرَّاغِبُوْنَ
ya raghbat rakhnay waalay us ka ishtiyaaq rakhtay hain.
يَا مَنْ فَتَقَ الْعُقُوْلَ بِمَعْرِفَتِهِ
Ay woh Parwardigaar jis nay 'aqlon ko ma'rifat kay zariyeh kushaadah kiya hai
وَ اَطْلَقَ الْاَلْسُنَ بِحَمْدِهِ
aur zabaanon ko apni hamd say rawaan kiya hai
وَ جَعَلَ مَا امْتَنَّ بِهِ عَلٰى عِبَادِهِ فِي كِفَاۤءٍ لِتَأْدِيَةِ حَقِّهِ [اَنَالَ بِهِ حَقَّهُ‏]
aur jo kuch bhi apnay bandon par ehsaan kiya hai. Us ko apnay haqq ko adaa karnay kay liye kaafi qaraar diya hai
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ لَا تَجْعَلْ لِّلشَّيْطَانِ عَلٰى عَقْلِيْ سَبِيْلًا
aur shaitaan ko hamaari 'aql par raastah nah dayna
وَ لَا لِلْبَاطِلِ عَلٰى عَمَلِيْ دَلِيْلًا۔
aur nah baatil ka guzar hamaaray a'maal par honay paa'ay.