ENGLISH | اردو | Roman | Azerbaijani
🏠 🔍
0:00
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ رَسُوْلِ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Farzand-e-Rasool (S.A.W.W.)
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ اَمِيْرِ الْمُؤْمِنِيْنَ
Salaam ho aap par ay Farzand-e-Ameer ul-Mo'mineen ('A.S.)
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ سَيِّدَةِ نِسَاۤءِ الْعَالَمِيْنَ
Salaam ho aap par ay Farzand-e-Sayyidah Nisaa' il-'Aalameen
اَشْهَدُ اَنَّكَ اَقَمْتَ الصَّلَاةَ
Mein gawaahi deta hoon kay be-shak aap nay namaaz qaa'im ki hai.
وَ اٰتَيْتَ الزَّكَاةَ
Zakaat adaa ki hai
وَ اَمَرْتَ بِالْمَعْرُوْفِ
nekiyon ka hukm diya hai
وَ نَهَيْتَ عَنِ الْمُنْكَرِ
buraa'iyon say rokaa hai
وَ عَبَدْتَ اللهَ مُخْلِصًا
Allah ki mukhilsaanah 'ibaadat ki hai
وَ جَاهَدْتَ فِي اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهِ
raah-e-Khuda mein mukammal jihaad kiya hai
حَتّٰى اَتَاكَ الْيَقِيْنُ
yahan tak kay shahaadat say ham-kinaar ho ga'ay hain.
فَعَلَيْكَ السَّلَامُ مِنِّيْ
Meri taraf say aap par salaam
مَا بَقِيْتُ وَ بَقِيَ اللَّيْلُ وَ النَّهَارُ
is waqt tak jab tak mein baaqi rahoon aur yeh lail-o-nihaar baaqi rahay
وَ عَلٰى اٰلِ بَيْتِكَ الطَّيِّبِيْنَ الطَّاهِرِيْنَ۔
aur aap kay Ahl-e-Bait-e-Tayyibeen-o-Taahireen ('A.S.) par
اَنَا يَا مَوْلَايَ مَوْلًى لَكَ وَ لِاٰلِ بَيْتِكَ
Mein aap ka aur aap kay ghar waalon ka ghulaam hoon
سِلْمٌ لِمَنْ سَالَمَكُمْ
jis say aap ki sulah hai us say sulah karnay waala hoon
وَ حَرْبٌ لِمَنْ حَارَبَكُمْ
aur jis say aap ki jang hai us say jang karnay waala hoon
مُؤْمِنٌ بِسِرِّكُمْ وَ جَهْرِكُمْ
Aap kay khufiyah-o-'alaaniyah
وَ ظَاهِرِكُمْ وَ بَاطِنِكُمْ
zaahir-o-baatin sab par Imaan rakhta hoon
لَعَنَ اللهُ اَعْدَاۤءَكُمْ
Khuda la'nat karay aap kay dushmanon par jo
مِنَ الْاَوَّلِيْنَ وَ الْاٰخِرِيْنَ
awwaleen-o-aakhireen kay logon mein say hain
وَ اَنَا اَبْرَاُ اِلَى اللّٰهِ تَعَالٰى مِنْهُمْ
mein un sab say bari aur bezaar hoon
يَا مَوْلَايَ يَا اَبَا مُحَمَّدٍ
Ay meray Mawla Hasan ('A.S.)
يَا مَوْلَايَ يَا اَبَا عَبْدِ اللّٰهِ
aur meray Aaqaa Husain ('A.S.)
هٰذَا يَوْمُ الْاِثْنَيْنِ
Aaj Dooshanbah ka din hai
وَ هُوَ يَوْمُكُمَا وَ بِاسْمِكُمَا
aur yeh din aap kay naam say mansoob hai
وَ اَنَا فِيْهِ ضَيْفُكُمَا
mein aap hazraat ka mehmaan hoon
فَاَضِيْفَانِي وَ اَحْسِنَا ضِيَافَتِيْ
lihaaza meri behtareen ziyaafat farmaa'iye
فَنِعْمَ مَنِ اسْتُضِيْفَ بِهِ اَنْتُمَا
aap say behtar ziyaafat karnay waala kaun hoga
وَ اَنَا فِيْهِ مِنْ جِوَارِكُمَا فَاَجِيْرَانِي
mein aap ki khidmat mein hoon mujhay panaah deejiye kay
فَاِنَّكُمَا مَأْمُوْرَانِ بِالضِّيَافَةِ وَ الْاِجَارَةِ
aap say achchaa panaah denay waala kaun hoga
فَصَلَّى اللهُ عَلَيْكُمَا وَ اٰلِكُمَا الطَّيِّبِيْنَ
Khuda aap par aur aap ki paakeezah awlaad par rehmatain naazil farma'ay