(Yeh du'a Balad ul-Ameen aur Misbah-e-Kaf'ami (R.A.) mein naql ki ga'i hai aur is ki riwaayat Imam Zain ul-'Aabideen ('A.S.) say un kay pidar-e-buzurgwaar kay hawaalah say Paighambar-e-Islaam (S.A.W.W.) say ki ga'i hai kay is du'a ko Jibreel-e-Ameen kisi jang kay mawqa' par Paighambar-e-Islaam (S.A.W.W.) ki khidmat mein laa'ay thay jab aap kay jism par ek vazni zirah thi jis say aap khastah haal ho rahay thay to Jibreel nay 'arz kiya kay Paighambar! Parwardigaar aap ko salaam kehlwaata hai aur farmaata hai kay is Jawshan ko utaar dein aur is du'a ko parhein jo aap kay liye aur aap ki ummat kay liye amn-o-amaan ka waseelah hai. Is kay ba'd un Hazrat nay is du'a kay be-shumaar fazaa'il naql kiye hain jin kay naql karnay ka yeh mawqa' nahin hai. In mein say ek fazeelat yeh bhi hai kay agar koi shakhs du'a ko apnay kafan par likh lay to Parwardigaar farmaata hai kay mujhay is bandah par 'azaab kartay huay hayaa aati hai aur jo shakhs bhi is du'a ko khuloos kay saath maah-e-Ramadaan ki pehli raat mein parh lay, Parwardigaar usay Shab-e-Qadr ki tawfeeq 'inaayat karta hai aur us kay liye sattar hazaar farishtay khalq karta hai jo us ki taraf say tasbeeh-o-taqdees kartay rehtay hain aur usay sawaab milta rehta hai. Yahan tak kay riwaayat mein yeh bhi hai agar koi shakhs maah-e-Ramadaan mein usay teen martabah parh lay to Parwardigaar us kay jism ko jahannum par haraam kar deta hai aur Jannat us kay liye laazim qaraar day deta hai aur do malak mu'ayyan kar deta hai jo usay zindagi bhar gunaahon say bachaatay rahein aur amn-o-amaan mein rakhein. Aakhir riwaayat mein hai kay Imam Husain ('A.S.) nay farmaya kay mujh say meray pidar-e-buzurgwaar nay is du'a ko hifz karnay ki wasiyyat farma'i hai aur farmaya hai kay usay kafan par likha jaa'ay aur apnay ahl-o-'ayaal ko us ki ta'leem dee jaa'ay aur us kay parhnay ki targheeb dilaa'i jaa'ay. Is du'a mein Parwardigaar kay hazaar naam hain jin mein Ism-e-A'zam bhi hai.
Mu'allif: In donon riwaayaton say do baaton ka istifaadah hota hai. (1) Is du'a ka kafan par likhna mustahab hai jaisaa kay 'Allamah Bahr ul-'Uloom nay apni kitaab Durrah mein is ki taraf ishaarah farmaya hai.)
keh kafan par shahaadat-e-Islaam-o-Imaan aur Qur'aan aur Jawshan ka likhna mustahab hai jis ki sifat yeh hai kay baa'is-e-amn-o-amaan hai.
Awwal maah-e-Ramadaan mein is du'a ko parhna mustahab hai shabhaa-e-Qadr mein bil-khusoos is du'a kay parhnay ka is riwaayat mein koi zikr nahin hai lekin 'Allamah Majlisi (R.A.) nay Zaad ul-Ma'aad mein Shab-e-Qadr kay a'maal mein tehreer farmaya hai kay ba'z riwaayaat say ma'loom hota hai kay teenon shabhaa-e-Qadr mein is du'a ko parhna chaahiye aur zaahir hai kay un ka farmaa dena hi bahut kaafi hai kay un ka mutaala'ah be-had wasee' thaa.
Ba-har-haal is du'a mein sau faslein hain aur har fasl mein das Asmaa-e-Ilaahiyyah hai aur har fasl kay aakhir mein yeh fiqrah parhay)
وَسُنَّ اَنْ يُكْتَبَ بِالْاَكْفَانِ
keh kafan par shahaadat
شَهَادَةُ الْاِسْلَامِ وَالْاِيْمَانِ
Islaam-o-Imaan aur
وَهٰكَذَا كِتَابَةُ الْقُرْاٰنِ
Qur'aan aur Jawshan ka likhna mustahab hai
وَالْجَوْشَنُ الْمَنْعُوْتُ بِالْاَمَانِ
jis ki sifat yeh hai kay baa'is-e-amn-o-amaan hai.
Khudaaya mein tujh say teray naam kay waseelah say talab karta hoon ay Allah ay Mehrbaan ay daa'imi mehrbaani karnay waalay ay Kareem ay hamesha rehnay waalay ay Saahib-e-'Azmat say Khudaay-e-Azali ay 'Aleem-o-Daana ay Haleem-o-Burdbaar ay Saahib-e-Hikmat ay Paakeezah Sifaat jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin Faryaad hai. Faryaad hamain aatish-e-jahannum say aazaad kar day ay Parwardigaar.
Ay Aaqaa'on kay Aaqaa ay du'aa'on kay qabool karnay waalay ay darajaat ko buland karnay waalay ay nekiyon kay maalik ay khataa'on kay bakhshnay waalay. Ay matloobaat kay 'ataa karnay waalay. Ay taubah kay qabool karnay waalay ay aawaazon kay sunnay waalay. Ay posheedah umoor kay jaan'nay waalay. Ay balaa'on kay daf' karnay waalay.
سُبْحَانَكَ يَا لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Tu Paak-o-Be-Niyaaz hai ay Parwardigaar jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
اَلْغَوْثَ اَلْغَوْثَ اَلْغَوْثَ
Faryaad hai Faryaad hai Faryaad hai
خَلِّصْنَا مِنَ النَّارِ يَا رَبِّ
Mujhay aatish-e-jahannum say nijaat day day
Ay woh jis ki 'azmat kay saamnay har shay sar jhuka'ay huay hai. Ay woh jis ki qudrat kay liye har shay saraapa tasleem hai ay woh jis ki 'izzat kay liye har shay zaleel hai. Ay woh jis ki haybat kay saamnay har shay khaazi' hai. Ay woh jis kay khauf say har shay mahw-e-itaa'at hai ay woh jis kay khauf say pahaar shaq ho jaatay hain. Ay woh jis kay amr say aasmanon ka qiyaam hai. Ay woh jis kay izn say zameenon ka qaraar hai. Ay woh jis ki hamd say ra'd ki tasbeeh hai. Ay woh jo apnay ahl-e-mamlikat par kisi tarah ka zulm nahin karta hai.
سُبْحَانَكَ يَا لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Tu Paak-o-Be-Niyaaz hai ay Parwardigaar jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
اَلْغَوْثَ اَلْغَوْثَ اَلْغَوْثَ
Faryaad hai Faryaad hai Faryaad hai
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَاٰلِهِ
Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ خَلِّصْنَا مِنَ النَّارِ يَا رَبِّ
Aur ham ko aatish-e-jahannum say nijaat day day
يَا ذَاالْجَلَالِ وَالْاِكْرَامِ
Ay Saahib-e-Jalaal-o-Ikraam
يَاۤ اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ
Aur sab say ziyadah mehrbaani karnay waalay.
Khudaaya mein tujh say teray hi naamon kay waseelah say du'a karta hoon. Ay Jaleel, ay Jameel, ay Zimme-daar, ay Kafaalat karnay waalay, ay Rahnuma, ay Saathi, ay Hukoomat bakhshnay waalay, ay 'Aatiyyah denay waalay, ay Laghzishon say bachaanay waalay. Ay Taaqat denay waalay.
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
(1) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا اَللهُ، يَا رَحْمٰنُ، يَا رَحِيْمُ، يَا كَرِيْمُ، يَا مُقِيْمُ، يَا عَظِيْمُ، يَا قَدِيْمُ، يَا عَلِيْمُ، يَا حَلِيْمُ، يَا حَكِيْمُ، سُبْحَانَكَ، يَا لَا اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ، الْغَوْثَ الْغَوْثَ الْغَوْثَ، خَلِّصْنَا مِنَ النَّارِ، يَا رَبِّ۔
(1) Khudaaya mein tujh say teray naam kay waseelah say talab karta hoon ay Allah, ay Mehrbaan, ay daa'imi Mehrbani karnay waalay, ay Kareem, ay hamesha rehnay waalay, ay Saahib-e-'Azmat, ay Khudaay-e-Azali, ay 'Aleem-o-Daana, ay Haleem-o-Burdbaar, ay Saahib-e-Hikmat, ay Paakeezah Sifaat, jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin, Faryaad hai! Faryaad! Hamain aatish-e-jahannum say aazaad kar day ay Parwardigaar.
(2) يَا سَيِّدَ السَّادَاتِ، يَا مُجِيْبَ الدَّعَوَاتِ، يَا رَافِعَ الدَّرَجَاتِ، يَا وَلِيَّ الْحَسَنَاتِ، يَاغَافِرَ الْخَطِيْئَاتِ، يَا مُعْطِيَ الْمَسْاَلَاتِ، يَا قَابِلَ التَّوْبَاتِ، يَا سَامِعَ الْاَصْوَاتِ، يَا عَالِمَ الْخَفِيَّاتِ، يَا دَافِعَ الْبَلِيَّاتِ۔
(2) Ay Aaqaa'on kay Aaqaa, ay du'aaon kay qabool karnay waalay, ay darajaat ko buland karnay waalay, ay nekiyon kay maalik, ay khataa'on kay bakhshnay waalay. Ay matloobaat kay 'ataa karnay waalay. Ay taubah kay qabool karnay waalay, ay aawaazon kay sunnay waalay. Ay posheedah umoor kay jaan'nay waalay. Ay balaa'on kay daf' karnay waalay.
(3) يَا خَيْرَ الْغَافِرِيْنَ، يَا خَيْرَ الْفَاتِحِيْنَ، يَا خَيْرَ النَّاصِرِيْنَ، يَا خَيْرَ الْحَاكِمِيْنَ، يَا خَيْرَ الرَّازِقِيْنَ، يَا خَيْرَ الْوَارِثِيْنَ، يَا خَيْرَ الْحَامِدِيْنَ، يَا خَيْرَ الذَّاكِرِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمُنْزِلِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمُحْسِنِيْنَ۔
(3) Ay behtareen bakhshnay waalay. Ay behtareen aaghaaz karnay waalay. Ay behtareen madad karnay waalay. Ay behtareen faislah karnay waalay, ay behtareen rizq denay waalay. Ay behtareen waaris. Ay behtareen ta'reef karnay waalay. Ay behtareen yaad karnay waalay. Ay behtareen naazil karnay waalay. Ay behtareen ehsaan karnay waalay.
(4) يَا مَنْ لَهُ الْعِزَّةُ وَالْجَمَالُ، يَا مَنْ لَهُ الْقُدْرَةُ وَالْكَمَالُ، يَا مَنْ لَهُ الْمُلْكُ وَالْجَلَالُ، يَا مَنْ هُوَ الْكَبِيْرُ الْمُتَعَالِ، يَا مُنْشِيَ السَّحَابِ الثِّقَالِ، يَا مَنْ هُوَ شَدِيْدُ الْمِحَالِ، يَا مَنْ هُوَ سَرِيْعُ الْحِسَابِ، يَا مَنْ هُوَ شَدِيْدُ الْعِقَابِ، يَا مَنْ عِنْدَهُ حُسْنُ الثَّوَابِ، يَا مَنْ عِنْدَهُ اُمُّ الْكِتَابِ۔
(4) Ay woh jis kay qabzay mein 'izzat-o-jamaal hai. Ay woh jis kay haathon mein qudrat-o-kamaal hai. Ay woh jis kay liye mulk-o-jalaal hai. Ay woh jo buzurg-o-buland-tar hai. Ay woh jo bojhal baadlon ka mowjid hai. Ay woh jis ki taaqat mazboot-tar hai. Ay woh jo bahut jald hisaab karnay waala hai. Ay woh jo bahut sakht 'azaab karnay waala hai. Ay woh jis kay paas behtareen sawaab hai aur ay woh jis kay paas 'ilm-e-kitaab hai.
(5) اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا حَنَّانُ، يَا مَنَّانُ، يَا دَيَّانُ، يَا بُرْهَانُ، يَا سُلْطَانُ، يَا رِضْوَانُ، يَا غُفْرَانُ، يَا سُبْحَانُ، يَا مُسْتَعَانُ، يَا ذَا الْمَنِّ وَالْبَيَانِ۔
(5) Khudaaya mein tujh say teray naam kay waseelah say sawaal karta hoon. Ay Mehrbaan, ay Ehsaan karnay waalay. Ay Jazaa denay waalay. Ay Daleel-e-roshan. Ay Saahib-e-Saltanat. Ay 'Ain-e-Razaa. Ay Saahib-e-Maghfirat. Ay Paakeezah Sifaat. Ay Madadgaar. Ay Saahib-e-Ehsaan-o-Bayaan.
(6) يَـا مَنْ تَـوَاضَـعَ كُلُّ شَيْئٍ لِعَظَمَتِهِ، يَا مَنِ اسْتَسْلَمَ كُلُّ شَيْئٍ لِقُدْرَتِهِ، يَا مَنْ ذَلَّ كُلُّ شَيْئٍ لِعِزَّتِهِ، يَا مَنْ خَضَعَ كُلُّ شَيْئٍ لِهَيْبَتِهِ، يَا مَنِ انْقَادَ كُلُّ شَيْئٍ مِّنْ خَشْيَتِهِ، يَا مَنْ تَشَقَّقَتِ الْجِبَالُ مِنْ مَخَافَتِهِ، يَا مَنْ قَامَتِ السَّمَاوَاتُ بِاَمْرِهِ، يَا مَنِ اسْتَقَرَّتِ الْاَرَضُوْنَ بِاِذْنِهِ، يَا مَنْ يُّسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ، يَا مَنْ لَّا يَعْتَدِي عَلىٰ اَهْلِ مَمْلَكَتِهِ۔
(6) Ay woh jis ki 'azmat kay saamnay har shay sar jhuka'ay huay hai. Ay woh jis ki qudrat kay liye har shay saraapa tasleem hai. Ay woh jis ki 'izzat kay liye har shay zaleel hai. Ay woh jis ki haybat kay saamnay har shay khaazi' hai. Ay woh jis kay khauf say har shay mahw-e-ita'at hai. Ay woh jis kay khauf say pahaar shaq ho jaatay hain. Ay woh jis kay amr say aasmanon ka qiyaam hai. Ay woh jis kay izn say zameeno ka qaraar hai. Ay woh jis ki hamd say ra'd ki tasbeeh hai. Ay woh jo apnay ahl-e-mamlikat par kisi tarah ka zulm nahin karta hai.
(7) يَا غَافِرَ الْخَطَايَا، يَا كَاشِفَ الْبَلَايَا، يَا مُنْتَهَى الرَّجَايَا، يَا مُجْزِلَ الْعَطَايَا، يَا وَاهِبَ الْهَدَايَا، يَا رَازِقَ الْبَرَايَا، يَا قَاضِيَ الْمَنَايَا، يَا سَامِعَ الشَّكَايَا، يَا بَاعِثَ الْبَرَايَا، يَا مُطْلِقَ الْاُسَارىٰ۔
(7) Ay khataa'on kay ma'af karnay waalay. Ay balaa'on kay door karnay waalay. Ay ummeedon ki aakhiri manzil. Ay 'azeem 'atiyyah 'ataa karnay waalay, ay hadaaya denay waalay. Ay makhlooqaat kay rozi denay waalay. Ay maut ka faislah karnay waalay. Ay faryaadon kay sunnay waalay. Ay makhlooqaat kay dobaarah uthaanay waalay. Ay qaidiyon kay aazaad karnay waalay.
(8) يَا ذَا الْحَمْدِ وَالثَّنَاۤءِ، يَا ذَا الْفَخْرِ وَالْبَهَاۤءِ، يَا ذَا الْمَجْدِ وَالسَّنَاۤءِ، يَا ذَا الْعَهْدِ وَالْوَفَاۤءِ، يَا ذَا الْعَفْوِ وَالرِّضَاۤءِ، يَا ذَا الْمَنِّ وَالْعَطَاۤءِ، يَا ذَا الْفَضْلِ وَالْقَضَاۤءِ، يَا ذَا الْعِزِّ وَالْبَقَاۤءِ، يَا ذَا الْجُوْدِ وَالسَّخَاۤءِ، يَا ذَا الْاٰلَاۤءِ وَالنَّعْمَاۤءِ۔
(8) Ay hamd-o-thanaa kay maalik. Ay buzurgi aur bulandi kay maalik. Ay Saahib-e-Buzurgi-o-Bulandi. Ay 'ahd-o-wafaa kay maalik. Ay 'afw aur razza kay saahib-e-ikhtiyaar. Ay Ehsaan-o-'ataaya waalay. Ay Saahib-e-Fazl-o-Karam aur Faislah karnay waalay. Ay 'izzat-o-baqaa kay maalik. Ay jood-o-karam kay Parwardigaar. Ay ne'maton aur rehmaton kay maalik.
(9) اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مَانِعُ، يَا دَافِعُ، يَا رَافِعُ، يَا صَانِعُ، يَا نَافِعُ، يَا سَامِعُ، يَا جَامِعُ، يَا شَافِعُ، يَا وَاسِعُ، يَا مُوْسِعُ۔
(9) Khudaaya mein teray naam kay waastay say sawaal karta hoon ay roknay waalay. Ay daf' karnay waalay. Ay darajaat kay buland karnay waalay. Ay eejaad karnay waalay. Ay faa'idah denay waalay, ay faryaadiyon kay sunnay waalay, ay jam' karnay waalay, ay ma'aaf karnay waalay. Ay Saahib-e-Wus'at aur ay wus'at denay waalay.
(10) يَا صَانِعَ كُلِّ مَصْنُوْعٍ، يَا خَالِقَ كُلِّ مَخْلُوْقٍ، يَا رَازِقَ كُلِّ مَرْزُوْقٍ، يَا مَالِكَ كُلِّ مَمْلُوْكٍ، يَا كَاشِفَ كُلِّ مَكْرُوْبٍ، يَا فَارِجَ كُلِّ مَهْمُوْمٍ، يَا رَاحِمَ كُلِّ مَرْحُوْمٍ، يَا نَاصِرَ كُلِّ مَخْذُوْلٍ، يَا سَاتِرَ كُلِّ مَعْيُوْبٍ، يَا مَلْجَاَ كُلِّ مَطْرُوْدٍ۔
(10) Ay har masnoo' kay Saani'. Ay har makhlooq kay Khaaliq. Ay har marzooq kay Raaziq. Ay har mamlook kay Maalik aur har ranjeedah kay ranj ko door karnay waalay. Ay har mahmoom kay hamm-o-gham ko door karnay waalay. Ay har qaabil-e-rahm par rahm karnay waalay. Ay har laa-waaris kay madadgaar. Ay har ma'yoob ki 'aib poshi karnay waalay. Aur har thukra'ay huay kay panaah gaah.
(11) يَا عُدَّتِيْ عِنْدَ شِدَّتِيْ، يَا رَجَآئِـيْ عِنْدَ مُصِيْبَتِي، يَا مُوْنِسِيْ عِنْدَ وَحْشَتِيْ، يَا صَاحِبِيْ عِنْدَ غُرْبَتِيْ، يَا وَلِيِّيْ عِنْدَ نِعْمَتِيْ، يَا غِيَاثِيْ عِنْدَ كُرْبَتِيْ، يَا دَلِيْلِيْ عِنْدَ حَيْرَتِيْ، يَا غِنَاۤئِي عِنْدَ افْتِقَارِيْ، يَا مَلْجَاۤئِيْ عِنْدَ اضْطِرَارِيْ، يَا مُعِيْنِيْ عِنْدَ مَفْزَعِيْ۔
(11) Ay sakhtiyon mein meray sahaaray. Ay museebaton mein meri ummeed. Ay wahshat kay moonis. Ay ghurbat kay saathi. Ay ne'maton mein meray maalik, ay ranj-o-gham kay faryaad ras. Ay hairaani kay rahnuma. Ay faqr-o-faaqah kay waseelah-e-be-niyaazi. Ay iztiraab mein meri panaah gaah. Ay ranj-o-gham mein meray madadgaar.
(12) يَا عَلَّا مَ الْغُيُوْبِ، يَا غَفَّارَ الذُّنُوْبِ، يَا سَتَّارَ الْعُيُوْبِ، يَا كَاشِفَ الْكُرُوْبِ، يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ، يَا طَبِيْبَ الْقُلُوْبِ، يَا مُنَوِّرَ الْقُلُوْبِ، يَا اَنِيْسَ الْقُلُوْبِ، يَا مُفَرِّجَ الْهُمُوْمِ، يَا مُنَفِّسَ الْغُمُوْمِ۔
(12) Ay har ghaib kay jaan'nay waalay, ay gunaah kay bakhshnay waalay. Ay har 'aib kay pardah posh. Ay har ranj kay door karnay waalay. Ay dilon ko palat denay waalay. Ay dilon kay 'ilaaj karnay waalay. Ay dilon ko roshan karnay waalay. Ay dilon kay moonis. Ay hamm-o-gham kay daf' karnay waalay. Ay ranj-o-gham mein sukoon bakhshnay waalay.
(13) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا جَلِيْلُ، يَا جَمِيْلُ، يَا وَكِيْلُ، يَا كَفِيْلُ، يَا دَلِيْلُ، يَا قَبِيْلُ، يَا مُدِيْلُ، يَا مُنِيْلُ، يَا مُقِيْلُ، يَا مُحِيْلُ۔
(13) Khudaaya mein tujh say teray hi naamon kay waseelah say du'a karta hoon. Ay Jaleel, ay Jameel, ay zimmay daar, ay kafaalat karnay waalay, ay rahnuma, ay saathi, ay hukoomat bakhshnay waalay, ay 'atiyyah denay waalay, ay laghzishon say bachaanay waalay. Ay taaqat denay waalay.
(14) يَا دَلِيْلِ المُتَحَيِّرِيْنَ، يَا غِيَاثَ المُسْتَغِيْثِيْنَ، يَا صَرِيْخَ المُسْتَصْرِخِيْنَ، يَا جَارَ المُسْتَجِيْرِيْنَ، يَا اَمَانَ الْخَآئِفِيْنَ، يَا عَوْنَ الْمُؤْمِنِيْنَ، يَا رَاحِمَ المَسَاكِيْنَ، يَا مَلْجَاَ الْعَاصِيْنَ، يَا غَافِرَ الْمُذْنِبِيْنَ، يَا مُجِيْبَ دَعْوَةِ الْمُضْطَرِّيْنَ۔
(14) Ay mutahayyir afraad kay rahnuma. Ay faryaadiyon kay faryaad ras. Ay naal-o-shaiwan karnay waalon kay madadgaar. Ay panaah kay talabgaaron kay panaah bakhsh. Ay khaufzadah logon kay amaan denay waalay. Ay saahibaan-e-eemaan kay madadgaar. Ay miskeenon par rahm karnay waalay. Ay gunahgaaron kay panaah denay waalay. Ay khataakaaron kay bakhshnay waalay. Ay be-kason kay du'aaon kay qabool karnay waalay.
(15) يَا ذَا الْجُوْدِ وَالْاِحْسَانِ، يَا ذَا الْفَضْلِ وَالْاِمْتِنَانِ، يَا ذَا الْاَمْنِ وَالْاَمَانِ، يَا ذَا الْقُدْسِ وَالسُّبْحَانِ، يَا ذَا الْحِكْمَةِ وَالْبَيَانِ، يَا ذَا الرَّحْمَةِ وَالرِّضْوَانِ، يَا ذَا الْحُجَّةِ وَالْبُرْهَانِ، يَا ذَا الْعَظَمَةِ وَالسُّلْطَانِ، يَا ذَا الرَّأْفَةِ وَالْمُسْتَعَانِ، يَا ذَا الْعَفْوِ وَالْغُفْرَانِ۔
(15) Ay Saahib-e-Jood-o-Ehsaan. Ay Saahib-e-Fazl-o-Karam. Ay Maalik-e-Amn-o-Amaan. Ay Saahib-e-Quds-o-Paakeezgi. Ay Saahib-e-Hikmat-o-Bayaan. Ay Saahib-e-Rahmat-o-Rizwaan. Ay Saahib-e-Daleel-o-Burhaan. Ay Saahib-e-'Azmat-o-Saltanat. Ay Saahib-e-Rahmat-o-I'aanat, ay Saahib-e-'Afw-o-Maghfirat.
(16) يَا مَنْ هُوَ رَبُّ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ اِلٰهُ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ خَالِقُ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ صَانِعُ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ قَبْلَ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ بَعْدَ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ فَوْقَ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ عَالِمٌ بِكُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ قَادِرٌ عَلىٰ كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ هُوَ يَبْقىٰ وَيَفْنىٰ كُلُّ شَيْئٍ ۔
(16) Ay har shay kay Parwardigaar. Ay har shay kay Ma'bood. Ay har shay kay Khalq karnay waalay. Ay har shay kay eejaad karnay waalay. Ay har shay say pehlay rehnay waalay. Ay har shay kay ba'd rehnay waalay. Ay har shay say buland-tar. Ay har shay kay jaan'nay waalay. Ay har shay par qudrat rakhnay waalay. Ay har shay ki fanaa kay ba'd baaqi reh jaanay waalay.
(17) اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مُؤْمِنُ، يَا مُهَيْمِنُ، يَا مُكَوِّنُ، يَا مُلَقِّنُ، يَا مُبَيِّنُ، يَا مُهَوِّنُ، يَا مُمَكِّنُ، يَا مُزَيِّنُ، يَا مُعْلِنُ، يَا مُقَسِّمُ۔
(17) Khudaaya mein teray naamon kay waseelah say du'a karta hoon ay amaan denay waalay, ay bayaan karnay waalay, ay ehsaan kar denay waalay, ay taaqat denay waalay, ay zeenat denay waalay, ay i'laan karnay waalay, ay taqseem karnay waalay.
(18) يَا مَنْ هُوَ فِيْ مُلْكِهِ مُقِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِي سُلْطَانِهِ قَدِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ جَلَالِهِ عَظِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ عَلىٰ عِبَادِهِ رَحِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ بِكُلِّ شَيْئٍ عَلِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ بِمَنْ عَصَاهُ حَلِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ بِمَنْ رَجَاهُ كَرِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ صُنْعِهِ حَكِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ حِكْمَتِهِ لَطِيْفٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ لُطْفِهِ قَدِيْمٌ۔
(18) Ay woh Khuda jo apnay mulk mein mustahkam hai. Ay woh Khuda jo apni saltanat kay e'tibaar say qadeem hai. Ay woh Khuda jo apni jalaalat mein 'azeem hai. Ay woh Khuda jo apnay bandon par mehrbaan hai. Ay woh Khuda jo har shay ka jaan'nay waala hai. Ay woh Khuda jo gunahgaar ko bardaasht karnay waala hai. Ay woh Khuda jo ummeedwaaron par karam karnay waala hai. Ay woh Khuda jo apni san'at mein saahib-e-hikmat hai. Ay woh Maalik jo apni hikmat mein lateef hai. Ay woh Khuda jo lutf mein qadeem hai.
(19) يَا مَنْ لَايُرْجىٰ اِلَّا فَضْلُهُ، يَا مَنْ لَايُسْاَلُ اِلَّا عَفْوُهُ، يَا مَنْ لَايُنْظَرُ اِلَّا بِرُّهُ، يَا مَنْ لَا يُخَافُ اِلَّا عَدْلُهُ، يَا مَنْ لَا يَدُوْمُ اِلَّا مُلْكُهُ، يَا مَنْ لَاسُلْطَانَ اِلَّا سُلْطَانُهُ، يَا مَنْ وَسِعَتْ كُلَّ شَيْئٍ رَحْمَتُهُ، يَا مَنْ سَبَقَتْ رَحْمَتُهُ غَضَبَهُ، يَا مَنْ اَحَاطَ بِكُلِّ شَيْئٍ عِلْمُهُ، يَا مَنْ لَيْسَ اَحَدٌ مِثْلَهُ۔
(19) Ay woh Khuda jis say sirf fazl-o-karam ki ummeed ki jaati hai. Aur us say sirf ma'aafi ka sawaal kiya jaata hai aur nekiyon ko dekha jaata hai aur us ki 'adaalat say daraa jaata hai. Aur sirf us kay mulk ko dawaam hai aur us kay 'ilaawah kisi ki saltanat nahin hai. Us ki rehmat har shay ko muheet hai aur us ki meharbaani us kay ghazab say aagay aagay chalti hai. Us ka 'ilm har shay ko gheray mein liye huay hai aur us kay jaisa koi nahin hai.
(20) يَا فَارِجَ الْهَمِّ، يَا كَاشِفَ الْغَمِّ، يَا غَافِرَ الذَّنْبِ، يَا قَابِلَ التَّوْبِ، يَا خَالِقَ الْخَلْقِ، يَا صَادِقَ الْوَعْدِ، يَا مُوْفِيَ الْعَهْدِ، يَا عَالِمَ السِّرِّ، يَا فَالِقَ الْحَبِّ، يَا رَازِقَ الْاَنَامِ۔
(20) Ay ranj ko door karnay waalay, gham ko daf' karnay waalay, gunaah ko bakhshnay waalay, taubah ko qabool karnay waalay, makhlooqaat ko paida karnay waalay. Wa'dah kay sachay, 'ahd kay poora karnay waalay, raazon kay jaan'nay waalay, daana ko shigaaftah karnay waalay aur makhlooqaat ko rozi denay waalay.
(21) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا عَلِيُّ، يَا وَفِيُّ، يَا غَنِيُّ، يَا مَلِيُّ، يَا حَفِيُّ، يَا رَضِيُّ، يَا زَكِيُّ، يَا بَدِيُّ، يَا قَوِيُّ، يَا وَلِيُّ۔
(21) Khudaaya mein tujh say teray naamon kay waastay say sawaal kar raha hoon ay buland martabah, ay wafaa shi'aar, ay be-niyaaz, ay bharay khazaanon kay maalik, ay sazawaar-e-karam, ay pasandeedah sifaat, ay paakeezah awsaf, ay ibtidaa karnay waalay, ay saahib-e-quwwat, ay saahib-e-wilaayat.
(22) يَا مَنْ اَظْهَرَ الْجَمِيْلَ، يَا مَنْ سَتَرَ الْقَبِيْحَ، يَا مَنْ لَمْ يُؤَاخِذْ بِالْجَرِيْرَةِ، يَا مَنْ لَمْ يَهْتِكِ السِّتْرَ، يَا عَظِيْمَ الْعَفْوِ، يَا حَسَنَ التَّجَاوُزِ، يَا وَاسِعَ الْمَغْفِرَةِ، يَا بَاسِطَ اليَّدَيْنِ بِالرَّحْمَةِ، يَا صَاحِبَ كُلِّ نَجْوىٰ، يَا مُنْتَهىٰ كُلِّ شَكْوىٰ۔
(22) Ay woh jis nay nekiyon ka izhaar kiya aur buraaiyon par pardah daal diya. Ay woh jis nay jaraa'im par mu'aakhizah nahin kiya aur pardah-e-gunaah ko chaak nahin kiya, ay 'azeem ma'aafi karnay waalay, ay behtareen darguzar karnay waalay, ay wasee' tareen maghfirat waalay. Ay donon haathon say mehrbaani karnay waalay, ay har harf-e-raaz kay saathi. Ay faryaad ki aakhiri manzil.
(23) يَا ذَا النِّعْمَةِ السَّابِغَةِ، يَا ذَا الرَّحْمَةِ الْوَاسِعَةِ، يَا ذَا الْمِنَّةِ السَّابِقَةِ، يَا ذَا الْحِكْمَةِ الْبَالِغَةِ، يَا ذَا الْقُدْرَةِ الْكَامِلَةِ، يَا ذَا الْحُجَّةِ الْقَاطِعَهِ، يَا ذَا الْكَرَامَةِ الظَّاهِرَةِ، يَا ذَا الْعِزَّةِ الدَّآئِمَةِ، يَا ذَا الْقُوَّةِ الْمَتِيْنَةِ، يَا ذَا الْعَظَمَةِ الْمَنِيْعَةِ۔
(23) Ay kaamil ne'maton waalay. Ay wasee' rehmaton kay maalik. Ay sabqat karnay waalay ehsaanaat kay maalik. Ay baleegh hikmat waalay. Ay kaamil qudrat waalay. Ay qaati' daleel waalay. Ay waazeh karaamat waalay. Ay daa'imi 'izzat waalay, mustahkam quwwat waalay, ay muhaafiz 'azmat waalay.
(24) يَا بَدِيْعَ السَّمَاوَاتِ، يَا جَاعِلَ الظُّلُمَاتِ، يَا رَاحِمَ الْعَبَرَاتِ، يَا مُقِيْلَ الْعَثَرَاتِ، يَا سَاتِرَ الْعَوْرَاتِ، يَا مُحْيِيَ الْاَمْوَاتِ، يَا مُنْزِلَ الْاٰيَاتِ، يَا مُضَعِّفَ الْحَسَنَاتِ، يَا مَاحِيَ السَّيِّئَاتِ، يَا شَدِيْدَ النَّقِمَاتِ۔
(24) Ay aasmanon ko eejaad karnay waalay, ay taareekiyon kay muqarrar karnay waalay, ay aansu'on par rahm karnay waalay, ay laghzishon kay ma'aaf karnay waalay. Ay 'uyoub ki pardah poshi karnay waalay. Ay murdon ko zindah karnay waalay. Ay aayaton kay naazil karnay waalay. Ay nekiyon mein izaafah karnay waalay. Ay buraaiyon ko mahv kar denay waalay. Ay shadeed 'azaab karnay waalay.
(25) اَللّٰهُمَّ اِنِّیْ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مُصَوِّرُ، يَا مُقَدِّرُ، يَا مُدَبِّرُ، يَا مُطَهِّرُ، يَا مُنَوِّرُ، يَا مُيَسِّرُ، يَا مُبَشِّرُ، يَا مُنْذِرُ، يَا مُقَدِّمُ، يَا مُؤَخِّرُ۔
(25) Khudaaya mein tujh say teray naamon kay tufail mein sawaal kar raha hoon. Ay tasweer banaanay waalay. Ay taqdeer saaz. Ay tadbeer karnay waalay. Ay paak karnay waalay. Ay roshan karnay waalay. Ay ehsaan karnay waalay. Ay bashaarat denay waalay. Ay daraanay waalay. Ay aagay barhaanay waalay. Ay peechay hataa denay waalay.
(26) يَا رَبَّ الْبَيْتِ الْحَرَامِ، يَا رَبَّ الشَّهْرِ الْحَرَامِ، يَا رَبَّ الْبَلَدِ الحَرَامِ، يَا رَبَّ الرُّكْنِ وَالْمَقَامِ، يَا رَبَّ الْمَشْعَرِ الحَرَامِ، يَا رَبَّ الْمَسْجِدِ الحَرَامِ، يَا رَبَّ الْحِلِّ وَالحَرَامِ، يَا رَبَّ النُّوْرِ وَالظَّلَامِ، يَا رَبَّ التَّحِيَّةِ وَالسَّلَامِ، يَا رَبَّ الْقُدْرَةِ فِيْ الْاَنَامِ۔
(26) Ay Bait ul-Haraam kay maalik. Ay Muhtaram maheenah kay maalik. Ay Muhtaram shehar kay maalik. Ay Rukn-o-Maqaam kay Parwardigaar. Ay Mash'ar ul-Haraam kay maalik. Ay Masjid ul-Haraam kay maalik. Ay Hill-o-Haram kay maalik. Ay Noor-o-Zulmat kay maalik. Ay Tahiyyat-o-Salaam kay maalik. Ay makhlooqaat ki qudrat kay maalik.
(27) يَا اَحْكَمَ الْحَاكِمِيْنَ، يَا اَعْدَلَ الْعَادِلِيْنَ، يَا اَصْدَقَ الصَّادِقِيْنَ، يَا اَطْهَرَ الطَّاهِرِيْنَ، يَا اَحْسَنَ الْخَالِقِيْنَ، يَا اَسْرَعَ الْحَاسِبِيْنَ، يَا اَسْمَعَ السَّامِعِيْنَ، يَا اَبْصَرَ النَّاظِرِيْنَ، يَا اَشْفَعَ الشَّافِعِيْنَ، يَا اَكْرَمَ الْاَكْرَمِيْنَ۔
(27) Ay behtareen faislah karnay waalay, behtareen insaaf karnay waalay. Sab say ziyadah sach bolnay waalay. Sab say ziyadah paakeezah sifaat, behtareen paida karnay waalay. Tez tareen hisaab karnay waalay. Sab say ziyadah sunnay waalay. Sab say behtar nigaah rakhnay waalay. Sab say ziyadah bakhshnay waalay. Sab say buland tar Kareem.
(28) يَا عِمَادَ مَنْ لَا عِمَادَ لَهُ، يَا سَنَدَ مَنْ لَا سَنَدَ لَهُ، يَا ذُخْرَ مَنْ لَا ذُخْرَ لَهُ، يَا حِرْزَ مَنْ لَا حِرْزَ لَهُ، يَا غِيَاثَ مَنْ لَا غِيَاثَ لَهُ، يَا فَخْرَ مَنْ لَا فَخْرَ لَهُ، يَا عِزَّ مَنْ لَا عِزَّ لَهُ، يَا مُعِيْنَ مَنْ لَا مُعِيْنَ لَهُ، يَا اَنِيْسَ مَنْ لَا اَنِيْسَ لَهُ، يَا اَمَانَ مَنْ لَا اَمَانَ لَهُ۔
(28) Ay be-sahaaron kay sahaaray, be-aasraa'on kay aasraa. Ay be-zakheeron kay zakheerah. Be-panaah kay muhaafiz. Be-kason kay faryaad ras. Jis ka koi fakhr nahin hai us kay liye baa'is-e-fakhr. Jis ki koi 'izzat nahin hai us ki 'izzat. Jis ka koi madadgaar nahin us kay madadgaar aur jis ka koi moonis nahin hai us kay anees. Jis kay liye koi amaan nahin hai us kay liye markaz-e-amn-o-amaan.
(29) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا عَاصِمُ، يَا قَآئِمُ، يَا دَآئِمُ، يَا رَاحِمُ، يَا سَالِمُ، يَا حَاكِمُ، يَا عَالِمُ، يَا قَاسِمُ، يَا قَابِضُ، يَا بَاسِطُ۔
(29) Khudaaya mein tujh say teray hi naamon kay waseelah say sawaal karta hoon, Ay Muhaafiz, ay Qaa'im-o-Daa'im, ay mehrbaani karnay waalay, ay salaamati waalay, hukoomat karnay waalay, jaan'nay waalay, taqseem karnay waalay. Ay rizq mein kami aur ziyaadati karnay waalay.
(30) يَا عَاصِمَ مَنِ اسْتَعْصَمَهُ، يَا رَاحِمَ مَنِ اسْتَرْحَمَهُ، يَا غَافِرَ مَنِ اسْتَغْفَرَهُ، يَا نَاصِرَ مَنِ اسْتَنْصَرَهُ، يَا حَافِظَ مَنِ اسْتَحْفَظَهُ، يَا مُكْرِمَ مَنِ اسْتَكْرَمَهُ، يَا مُرْشِدَ مَنِ اسْتَرْشَدَهُ، يَا صَرِيْخَ مَنِ اسْتَصْرَخَهُ، يَا مُعِيْنَ مَنِ اسْتَعَانَهُ، يَا مُغِيْثَ مَنِ اسْتَغَاثَهُ۔
(30) Ay hifaazaton kay talabgaaron kay muhaafiz, ay taalibaan-e-rahm par rahm karnay waalay. Ay taalibaan-e-maghfirat kay bakhshnay waalay. Ay taalibaan-e-imdaad kay madadgaar. Ay taalibaan-e-hifaazat kay muhaafiz. Ay taalibaan-e-karaamat ko karaamat bakhshnay waalay. Taalibaan-e-hidaayat kay murshid. Ay taalibaan-e-faryaad rasi kay faryaad ras. Ay taalibaan-e-i'aanat kay mu'ayyin aur ay taalibaan-e-imdaad ki faryaad ko pohnchnay waalay.
(31) يَا عَزِيْزًا لَا يُضَامُ، يَا لَطِيْفًا لَا يُرَامُ، يَا قَيُّوْمًا لَا يَنَامُ، يَا دَآئِمًا لَا يَفُوْتُ، يَا حَيًّا لَا يَمُوْتُ، يَا مَلِكًا لَا يَزُوْلُ، يَا بَاقِيًا لَا يَفْنىٰ، يَا عَالِمًا لَا يَجْهَلُ، يَا صَمَدًا لَا يُطْعَمُ، يَا قَوِيًّا لَا يَضْعُفُ۔
(31) Ay woh saahib-e-'izzat jisay zaleel nahin kiya jaa sakta hai. Ay lateef jahaan tak kisi ki rasaa'i nahin hai. Woh nigraan jo sotaa nahin hai. Woh daa'im jis kay liye fanaa nahin hai. Woh zindah jis kay liye maut nahin hai. Woh Baadshah jis ki saltanat ko zawaal nahin hai. Woh baaqi jisay fanaa nahin hai. Woh 'aalim jo jaahil nahin hai. Woh be-niyaaz jo muhtaaj-e-ghizaa nahin hai. Woh qavi jo kamzor nahin ho sakta hai.
(32) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا اَحَدُ، يَا وَاحِدُ، يَا شَاهِدُ، يَا مَاجِدُ، يَا حَامِدُ، يَا رَاشِدُ، يَا بَاعِثُ، يَا وَارِثُ، يَا ضَارُّ، يَا نَافِعُ۔
(32) Khudaaya mein tujh say teray naamon kay waastah say sawaal karta hoon ay Yaktā, ay Akailay, ay Gawaah, ay Buzurg-o-Bartar, ay Saahib-e-Hamd, ay Rahnuma, ay murdon ko zindah karnay waalay, ay kaa'inaat kay waaris, ay nafa'-o-nuqsaan kay maalik.
(33) يَا اَعْظَمَ مِنْ كُلِّ عَظِيْمٍ، يَا اَكْرَمَ مِنْ كُلِّ كَرِيْمٍ، يَا اَرْحَمَ مِنْ كُلِّ رَحِيْمٍ، يَا اَعْلَمَ مِنْ كُلِّ عَلِيْمٍ، يَا اَحْكَمَ مِنْ كُلِّ حَكِيْمٍ، يَا اَقْدَمَ مِنْ كُلِّ قَدِيْمٍ، يَا اَكْبَرَ مِنْ كُلِّ كَبِيْرٍ، يَا اَلْطَفَ مِنْ كُلِّ لَطِيْفٍ، يَا اَجَلَّ مِنْ كُلِّ جَلِيْلٍ، يَا اَعَزَّ مِنْ كُلِّ عَزِيْزٍ۔
(33) Ay har saahib-e-'azmat say 'azeem tar aur har mehrbaan say ziyadah mehrbaani karnay waalay. Har Raheem say ziyadah Raheem aur har 'aalim say ziyadah 'aleem-o-daana. Har saahib-e-hikmat say ziyadah Hakeem aur har qadeem say ziyadah Qadeem. Har buzurg say ziyadah Buzurg. Aur har Lateef say ziyadah mehrbaan. Har Jaleel say ziyadah Jaleel ul-Qadr aur har 'Azeez say ziyadah Saahib-e-'Izzat.
(34) يَا كَرِيْمَ الصَّفْحِ، يَا عَظِيْمَ الْمَنِّ، يَا كَثِيْرَ الْخَيْرِ، يَا قَدِيْمَ الْفَضْلِ، يَا دَآئِمَ اللُّطْفِ، يَا لَطِيْفَ الصُّنْعِ، يَا مُنَفِّسَ الْكَرْبِ، يَا كَاشِفَ الضُّرِّ، يَا مَالِكَ المُلْكِ، يَا قَاضِيَ الحَقِّ۔
(34) Ay Darguzar karnay waalay Kareem, ay 'Azeem ehsaan karnay waalay. Ay katheer khair waalay. Ay hamesha say fazl karnay waalay. Ay daa'imi lutf karnay waalay. Ay lateef san'at waalay. Ay ranj-o-gham ko door karnay waalay. Ay museebaton kay door karnay waalay. Ay mulk kay maalik aur ay haqq ka faislah karnay waalay.
(35) يَا مَنْ هُوَ فِيْ عَهْدِهِ وَفِيٌّ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ وَفَآئِهِ قَوِيٌّ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ قُوَّتِهِ عَلِيٌّ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ عُلُوِّهِ قَرِيْبٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ قُرْبِهِ لَطِيْفٌ، يَا مَنْ هُوَ فِي لُطْفِهِ شَرِيْفٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ شَرَفِهِ عَزِيْزٌ، يَا مَنْ هُوَ فِي عِزِّهِ عَظِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ عَظَمَتِهِ مَجِيْدٌ، يَا مَنْ هُوَ فِيْ مَجْدِهِ حَمِيْدٌ۔
(35) Ay woh Parwardigaar jo apnay 'ahd ka poora karnay waala aur apni wafaa ki taaqat rakhnay waala hai. Apni quwwat mein buland tar hai aur apni bulandi kay baa-wujood Kareem tar hai. Apni qurbat mein mehrbaan hai aur apni mehrbaani mein saahib-e-sharaf hai. Apnay sharaf mein saahib-e-'izzat hai aur apni 'izzat mein saahib-e-'azmat hai. Apni 'azmat mein buzurg hai aur apni buzurgi mein saahib-e-hamd-o-thanaa hai.
(36) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا كَافِيْ، يَا شَافِيْ، يَا وَافِيْ، يَا مُعَافِيْ، يَا هَادِيْ، يَا دَاعِيْ، يَا قَاضِيْ، يَا رَاضِيْ، يَا عَالِيْ، يَا بَاقِيْ۔
(36) Khudaaya mein tujh say teray naamon kay sadqah mein sawaal kar raha hoon, Ay Kaafi, ay shifaa denay waalay, ay wafaa karnay waalay. Ay 'aafiyat denay waalay, ay hidaayat karnay waalay, ay da'wat denay waalay, ay faislah karnay waalay, ay raazi honay waalay, ay buland-o-bartar, ay hamesha rehnay waalay.
(37) يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ خَاضِعٌ لَهُ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ خَاشِعٌ لَهُ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ كَاۤئِنٌ لَهُ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ مَوْجُوْدٌ بِهِ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ مُنِيْبٌ اِلَيْهِ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ خَآئِفٌ مِنْهُ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ قَآئِمٌ بِهِ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ صَآئِرٌ اِلَيْهِ، يَا مَنْ كُلُّ شَيْئٍ یُسَبِّحُ بِحَمْدِہِ یَا مَنْ كُلُّ شَیْئٍ هَالِكٌ اِلَّا وَجْهَهُ۔
(37) Ay woh jis kay liye har shay khaazi' hai aur har shay khaashi' hai. Har shay us kay liye hai. Aur har shay ka wujood usi say hai. Har shay ka rujoo' usi ki taraf hai. Aur har shay us say khauf zadah hai. Har shay us kay iraadah say qaa'im hai aur har shay ki baazgasht usi ki taraf hai. Har shay us ki hamd ki tasbeeh kar rahi hai aur har shay us ki zaat-e-aqdas kay 'ilaawah halaak honay waali hai.
(38) يَا مَنْ لَامَفَرَّ اِلَّا اِلَيْهِ، يَا مَنْ لَا مَقْصَدَ اِلَّا اِلَيْهِ، يَا مَنْ لَامَنْجىٰ مِنْهُ اِلَّا اِلَيْهِ، يَا مَنْ لَايُرْغَبُ اِلَّا اِلَيْهِ، يَا مَنْ لَاحَوْلَ وَلَاقُوَّةَ اِلَّا بِهِ، يَا مَنْ لَايُسْتَعَانُ اِلَّا بِهِ، يَا مَنْ لَايُتَوَكَّلُ اِلَّا عَلَيْهِ، يَا مَنْ لَايُرْجىٰ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايُعْبَدُ اِلَّا هُوَ۔
(38) Ay woh Parwardigaar jis kay 'ilaawah koi jaa'ay faraar nahin hai. Us kay maa siwaa koi panaah gaah nahin hai. Us kay 'ilaawah koi maqsad nahin hai aur us kay 'ilaawah koi markaz-e-nijaat nahin hai. Us kay siwaa kisi ki taraf raghbat nahin ki jaati hai aur us kay 'ilaawah koi taaqat ka sahaara nahin hai. Us kay maa siwaa kisi say madad nahin talab ki jaati hai aur us kay 'ilaawah kisi par bharosa nahin kiya jaata hai. Us kay siwaa kisi say ummeed nahin ki jaati hai aur us kay maa siwaa koi qaabil-e-parastish nahin hai.
(39) يَا خَيْرَ الْمَرْهُوْبِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَرْغُوْبِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَطْلُوْبِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَسْؤُوْلِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَقْصُوْدِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَذْكُوْرِيْنَ، يَا خَيْرَ المَشْكُوْرِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَحْبُوْبِيْنَ، يَا خَيْرَ الْمَدْعُوِّيْنَ، يَا خَيْرَ الْمُسْتَأْنِسِيْنَ۔
(39) Ay khauf-o-raghbat donon ki behtareen manzil. Ay behtareen matloob aur behtareen mas'ool, behtareen maqsood aur behtareen qaabil-e-zikr, behtareen qaabil-e-tashakkur aur behtareen mehboob. Behtareen markaz-e-du'a aur behtareen waseelah-e-uns.
(40) اَللّٰهُمَّ اِنِّيْٓ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا غَافِرُ، يَا سَاتِرُ، يَا قَادِرُ، يَا قَاهِرُ، يَا فَاطِرُ، يَا كَاسِرُ، يَا جَابِرُ، يَا ذَاكِرُ، يَا نَاظِرُ، يَا نَاصِرُ۔
(40) Khudaaya mein teray hi naam kay sahaaray sawaal kar raha hoon. Ay bakhshnay waalay, ay pardah posh, ay saahib-e-qudrat, ay saahib-e-ghalbah, ay mowjid, ay tornay waalay, ay jornay waalay, ay yaad rakhnay waalay, ay nazar rakhnay waalay, ay madad karnay waalay.
(41) يَا مَنْ خَلَقَ فَسَوّٰى، يَا مَنْ قَدَّرَ فَهَدٰى، يَا مَنْ يَكْشِفُ الْبَلْوٰى، يَا مَنْ يَسْمَعُ النَّجْوٰى، يَا مَنْ يُنْقِذُالْغَرْقٰى، يَا مَنْ يُنْجِي الْهَلْكٰى، يَا مَنْ يَشْفِي الْمَرْضٰى، يَا مَنْ اَضْحَكَ وَاَبْكىٰ، يَا مَنْ اَمٰاتَ وَاَحْيٰا، يَا مَنْ خَلَقَ الزَّوْجَيْنِ الذَّكَرَ وَالْاُنْثٰى۔
(41) Ay woh jis nay paida kiya aur durust banaa diya. Ay woh jis nay taqdeer mu'ayyan ki aur hidaayat bhi dee. Ay woh jo balaa'on ko door karta hai aur raaz ki baaton ko sunta hai. Ay woh jo doobnay waalay ko bachata hai aur halaak honay waalay ko nijaat deta hai aur mareezon ko shifaa deta hai. Ay woh jis nay hansaaya bhi hai aur rulaaya bhi hai, jis nay maut bhi dee hai aur hayaat bhi dee hai. Jis nay nar-o-maadah har jooray ko paida kiya hai.
(42) يَا مَنْ فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ سَبِيْلُهُ، يَا مَنْ فِي الْاٰفَاقِ اٰيَاتُهُ، يَا مَنْ فِي الْاٰيَاتِ بُرْهَانُهُ، يَا مَنْ فِي الْمَمَاتِ قُدْرَتُهُ، يَا مَنْ فِي الْقُبُوْرِ عِبْرَتُهُ، يَا مَنْ فِي الْقِيَامَةِ مُلْكُهُ، يَا مَنْ فِي الْحِسَابِ هَيْبَتُهُ، يَا مَنْ فِي الْمِيْزَانِ قَضَآؤُهُ، يَا مَنْ فِي الْجَنَّةِ ثَوَابُهُ، يَا مَنْ فِي النَّارِ عِقَابُهُ۔
(42) Ay woh jis ka raastah khushki mein bhi hai aur samundar mein bhi hai. Jis ki nishaaniyaan tamaam kaa'inaat mein hain aur har nishaani mein us ki ek daleel hai. Maut par us ka iqtidaar hai aur qabron mein us ka saamaan-e-'ibrat hai. Qiyaamat mein us ki hukoomat hai aur hisaab mein us ki haybat hai. Meezaan-e-'adaalat par us ka faislah hai aur jannat mein us ka sawaab hai aur jahannum mein us ka 'azaab hai.
(43) يَا مَنْ اِلَيْهِ يَهْرَبُ الْخَآئِفُوْنَ، يَا مَنْ اِلَيْهِ يَفْزَعُ الْمُذْنِبُوْنَ، يَا مَنْ اِلَيْهِ يَقْصِدُ الْمُنِيْبُوْنَ، يَا مَنْ اِلَيْهِ يَرْغَبُ الزَّاهِدُوْنَ، يَا مَنْ اِلَيْهِ يَلْجَأُ الْمُتَحَيِّرُوْنَ، يَا مَنْ بِهِ يَسْتَأْنِسُ الْمُرِيْدُوْنَ، يَا مَنْ بِهِ يَفْتَخِرُ الْمُحِبُّوْنَ، يَا مَنْ فِيْ عَفْوِهِ يَطْمَعُ الْخَاطِئُوْنَ، يَا مَنْ اِلَيْهِ يَسْكُنُ الْمُوْقِنُوْنَ، يَا مَنْ عَلَيْهِ يَتَوَكَّلُ الْمُتَوَكِّلُوْنَ۔
(43) Ay woh jis ki taraf bhaagnay waalay bhaagtay hain aur gunahgaar panaah letay hain. Taubah karnay waalay udhar taubah kartay hain aur dunya say kinaarah kashi karnay waalay raghbat kartay hain. Mutahayyir afraad panaah talaash kartay hain aur chaahnay waalay us say uns haasil kartay hain aur chaahnay waalay us ki muhabbat par fakhr kartay hain. Ay woh jis ki ma'aafi ki tama' tamaam khataakaaron kay dil mein hai aur us kay paas saamaan-e-sukoon tamaam yaqeen waalon kay liye hai aur us par bharosa tamaam tawakkul karnay waalay kartay hain.
(44) اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا حَبِيْبُ، يَا طَبِيْبُ، يَا قَرِيْبُ، يَا رَقِيْبُ، يَا حَسِيْبُ، يَا مَهِيْبُ، يَا مُثِيْبُ، يَا مُجِيْبُ، يَا خَبِيْرُ، يَا بَصِيْرُ۔
(44) Khudaaya mein teray naam kay sahaaray tujh say sawaal karta hoon ay Habeeb, ay Tabib, ay Qareeb, ay nigehbaani karnay waalay, hisaab rakhnay waalay, Saahib-e-Haybat, sawaab denay waalay, du'a qabool karnay waalay, khabar rakhnay waalay aur dekhnay waalay.
(45) يَآ اَقْرَبَ مِنْ كُلِّ قَرِيْبٍ، يَآ اَحَبَّ مِنْ كُلِّ حَبِيْبٍ، يَآ اَبْصَرَ مِنْ كُلِّ بَصِيْرٍ، يَآ اَخْبَرَ مِنْ كُلِّ خَبِيْرٍ، يَآ اَشْرَفَ مِنْ كُلِّ شَرِيْفٍ، يَآ اَرْفَعَ مِنْ كُلِّ رَفِيْعٍ، يَآ اَقْوٰى مِنْ كُلِّ قَوِيٍّ، يَآ اَغْنٰى مِنْ كُلِّ غَنِيٍّ، يَآ اَجْوَدَ مِنْ كُلِّ جَوَادٍ، يَآ اَرْاَفَ مِنْ كُلِّ رَؤُوْفٍ۔
(45) Ay har qareeb say ziyadah Qareeb tar, har mehboob say ziyadah Mehboob tar, har dekhnay waalay say ziyadah Baseer. Ay har baa-khabar say ziyadah Khabeer. Har shareef say ziyadah Ashraaf aur har buland say ziyadah Buland tar. Har qavi say ziyadah Qavi tar. Har ghani say ziyadah Be-Niyaaz. Ay har Kareem say ziyadah Kareem aur har mehrbaan say ziyadah Mehrbaani karnay waalay.
(46) يَا غَالِبًا غَيْرَ مَغْلُوْبٍ، يَا صَانِعًا غَيْرَ مَصْنُوْعٍ، يَا خَالِقًا غَيْرَ مَخْلُوْقٍ، يَا مَالِكًا غَيْرَ مَمْلُوْكٍ، يَا قَاهِرًا غَيْرَ مَقْهُوْرٍ، يَا رَافِعًا غَيْرَ مَرْفُوْعٍ، يَا حَافِظًا غَيْرَ مَحْفُوْظٍ، يَا نَاصِرًا غَيْرَ مَنْصُوْرٍ، يَا شَاهِدًا غَيْرَ غَآئِبٍ، يَا قَرِيْبًا غَيْرَ بَعِيْدٍ۔
(46) Ay woh Ghaalib jo maghloob nahin. Ay woh Saani' jo khud kisi ki masnoo' nahin. Woh Khaaliq jo kisi ki makhlooq nahin. Woh Maalik jo kisi ki mamlook nahin. Woh Qaahir jo kisi say maghloob nahin. Woh Buland jisay kisi nay buland nahin banaaya. Woh Muhaafiz jo kisi tahaffuz ka muhtaaj nahin. Woh Naasir jo kisi madad ka talabgaar nahin. Woh Haazir jo kabhi ghaa'ib nahin hota aur woh Qareeb jo kabhi door nahin hota hai.
(47) يَا نُوْرَ النُّوْرِ، يَا مُنَوِّرَ النُّوْرِ، يَا خَالِقَ النُّوْرِ، يَا مُدَبِّرَ النُّوْرِ، يَا مُقَدِّرَ النُّوْرِ، يَا نُوْرَ كُلِّ نُوْرٍ، يَا نُوْرًا قَبْلَ كُلِّ نُوْرٍ، يَا نُوْرًا بَعْدَ كُلِّ نُوْرٍ، يَا نُوْرًا فَوْقَ كُلِّ نُوْرٍ، يَا نُوْرًا لَيْسَ كَمَثْلِهِ نُوْرٌ۔
(47) Ay nooron kay Noor, ay noor kay roshni bakhsh, ay noor kay maalik. Ay noor ki tadbeer karnay waalay. Ay noor ki taqdeer mu'ayyan karnay waalay. Ay har noor kay Noor, ay har noor kay pehlay kay Noor aur har noor kay ba'd kay Noor. Ay har noor say baala tar Noor aur woh Noor jis ka misl koi noor nahin.
(48) يَا مَنْ عَطَآؤُهُ شَرِيْفٌ، يَا مَنْ فِعْلُهُ لَطِيْفٌ، يَا مَنْ لُطْفُهُ مُقِيْمٌ، يَا مَنْ اِحْسَانُهُ قَدِيْمٌ، يَا مَنْ قَوْلُهُ حَقٌّ، يَا مَنْ وَعْدُهُ صِدْقٌ، يَا مَنْ عَفْوُهُ فَضْلٌ، يَا مَنْ عَذَابُهُ عَدْلٌ، يَا مَنْ ذِكْرُهُ حُلْوٌ، يَا مَنْ فَضْلُهُ عَمِيْمٌ۔
(48) Ay woh jis ki 'ataa shareef, us ka fi'l lateef, us ka lutf qaa'im-o-daa'im, us ka ehsaan hamesha, us ka qaul haqq, us ka wa'dah sachaa, us ki ma'aafi us ka fazl-o-karam, us ka 'azaab us ka 'adl, us ka zikr sheerin aur us ka fazl har ek ko shaamil hai.
(49) اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مُسَهِّلُ، يَا مُفَصِّلُ، يَا مُبَدِّلُ، يَا مُذَلِّلُ، يَا مُنَزِّلُ، يَا مُنَوِّلُ، يَا مُفَضِّلُ، يَا مُجْزِلُ، يَا مُمْهِلُ، يَا مُجْمِلُ۔
(49) Khudaaya mein tujh say teray naam kay sahaaray sawaal kar raha hoon. Ay aasaan karnay waalay. Sab ko ek doosray say alag karnay waalay, tabdeel karnay waalay. Qaaboo mein rakhnay waalay. Naazil karnay waalay, 'ataa karnay waalay, fazl karnay waalay, bahut 'ataa karnay waalay, mohlat denay waalay aur achchaa karnay waalay.
(50) يَا مَنْ يَرٰى وَلَا يُرٰى، يَا مَنْ يَخْلُقُ وَلَايُخْلَقُ، يَا مَنْ يَهْدِيْ وَلَايُهْدٰى، يَا مَنْ يُّحْيِيْ وَلَا يُحْيٰى، يَا مَنْ يَّسْاَلُ وَلَايُسْاَلُ، يَا مَنْ يُطْعِمُ وَلَايُطْعَمُ، يَا مَنْ يُجِيْرُ وَلَا يُجَارُ عَلَيْهِ، يَا مَنْ يَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْهِ، يَا مَنْ يَّحْكُمُ وَلَا يُحْكَمُ عَلَيْهِ، يَا مَنْ لَّمْ يَلِدْ وَلَمْ يُوْلَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَّهُ كُفْوًا اَحَدٌ۔
(50) Ay woh jo dekhta hai aur dikhaa'i nahin deta hai. Paida karta hai aur makhlooq nahin hai. Hidaayat deta hai aur muhtaaj-e-hidaayat nahin hai. Zindagi deta hai aur kisi say lenay ka muhtaaj nahin hai. Woh sab say sawaal kar sakta hai us say baazpurs koi nahin kar sakta hai. Woh sab ko khilaata hai aur usay nahin khilaaya jaata hai. Woh sab ko panaah deta hai aur khud kisi ki panaah mein nahin hai. Woh saaray faislay karta hai aur us par kisi ka faislah naafiz nahin hai. Woh har ek par hukoomat karta hai us par kisi ki hukoomat nahin hai. Woh kisi ka baap hai aur na kisi ka beta aur na koi us ka hamsar hai.
(51) يَا نِعْمَ الْحَسِيْبُ، يَا نِعْمَ الطَّبِيْبُ، يَا نِعْمَ الرَّقِيْبُ، يَا نِعْمَ الْقَرِيْبُ، يَا نِعْمَ الْمُجِيْبُ، يَا نِعْمَ الْحَبِيْبُ، يَا نِعْمَ الْكَفِيْلُ، يَا نِعْمَ الْوَكِيْلُ، يَا نِعْمَ الْمَوْلٰى، يَا نِعْمَ النَّصِيْرُ۔
(51) Ay behtareen hisaab karnay waalay. Ay behtareen 'ilaaj karnay waalay. Ay behtareen nigehbaani karnay waalay. Ay behtareen qurbat rakhnay waalay, ay behtareen qabool karnay waalay, ay behtareen mehboob, ay behtareen kafeel. Ay behtareen zimmay daar, ay behtareen mawla, ay behtareen madadgaar.
(52) يَا سُرُوْرَ العَارِفِيْنَ، يَا مُنَى الْمُحِبِّيْنَ، يَا اَنِيْسَ الْمُرِيْدِيْنَ، يَا حَبِيْبَ التَّوَّابِيْنَ، يَا رَازِقَ الْمُقِلِّيْنَ، يَا رَجَاۤءَ الْمُذْنِبِيْنَ، يَا قُرَّةَ عَيْنِ الْعَابِدِيْنَ، يَا مُنَفِّسَ عَنِ الْمَكْرُوْبِيْنَ، يَا مُفَرِّجَ عَنِ الْمَغْمُوْمِيْنَ، يَا اِلٰهَ الْاَوَّلِيْنَ وَالْاٰخِرِيْنَ۔
(52) Ay saahibaan-e-ma'rifat kay wajh-e-suroor. Chaahnay waalon kay markaz-e-ummeed, mureedon kay anees. Taubah karnay waalon kay dost. Faaqah kashon kay raaziq. Gunahgaaron kay ummeed. 'Ibaadat guzaaron ki khunki-e-chashm. Sitam raseedah logon kay ranj ko door karnay waalay. Maghmoom afraad ko mutma'in banaanay waalay aur awwaleen-o-aakhireen kay Parwardigaar.
(53) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا رَبَّنَا، يَا اِلٰهَنَا، يَا سَيِّدَنَا، يَا مَوْلَانَا، يَا نَاصِرَنَا، يَا حَافِظَنَا، يَا دَلِيْلَنَا، يَا مُعِيْنَنَا، يَا حَبِيْبَنَا، يَا طَبِيْبَنَا۔
(53) Khudaaya mein tujh say teray hi naam ka sahaara talab kar raha hoon. Ay Parwardigaar, Ma'bood, Sardaar, Aaqaa, Madadgaar, Muhaafiz, Rahnuma, Madadgaah, Mehboob aur Mu'aalij.
(54) يَا رَبَّ النَّبِيِّيْنَ وَالْاَبْرَارِ، يَا رَبَّ الصِّدِّيْقِيْنَ وَالْاَخْيَارِ، يَا رَبَّ الْجَنَّةِ وَالنَّارِ، يَا رَبَّ الصِّغَارِ وَالْكِبَارِ، يَا رَبَّ الْحُبُوْبِ وَالثِّمَارِ، يَا رَبَّ الْاَنْهَارِ وَالْاَشْجَارِ، يَا رَبَّ الصَّحَارِي وَالْقِفَارِ، يَا رَبَّ الْبَرَارِيْ وَالْبِحَارِ، يَا رَبَّ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ، يَا رَبَّ الْاَعْلَانِ وَالْاَسْرَارِ۔
(54) Ay anbiyaa-o-abraar kay Parwardigaar, siddiqeen aur naik kirdaaron kay maalik. Jannat-o-jahannum kay maalik aur sighaar-o-kibaar kay Parwardigaar. Daanon aur phool kay maalik aur neharon aur darakhton kay Parwardigaar, sehraa'on aur biyaabaanon kay maalik aur maidaanon aur samundaron kay Parwardigaar. Lail-o-nihaar kay maalik aur 'alaaniyah aur khufiyah sab kay saahib-e-ikhtiyaar.
(55) يَا مَنْ نَفَذَ فِي كُلِّ شَيْئٍ اَمْرُهُ، يَا مَنْ لَحَقَ بِكُلِّ شَيْئٍ عِلْمُهُ، يَا مَنْ بَلَغَتْ اِلٰى كُلِّ شَيْئٍ قُدْرَتُهُ، يَا مَنْ لَاتُحْصِي الْعِبَادُ نِعَمَهُ، يَا مَنْ لَاتَبْلُغُ الْخَلَآئِقُ شُكْرَهُ، يَا مَنْ لَاتُدْرِكُ الْاَفْهَامُ جَلَالَهُ، يَا مَنْ لَاتَنَالُ الْاَوْهَامُ كُنْهَهُ، يَا مَنِ الْعَظَمَةُ وَالْكِبْرِيَاۤءُ رِدَآؤُهُ، يَا مَنْ لَا تَرُدُّ الْعِبَادُ قَضَآئَهُ، يَا مَنْ لَا مُلْكَ اِلَّا مُلْكُهُ، يَا مَنْ لَا عَطَاۤءَ اِلَّاعَطَآؤُهُ۔
(55) Ay woh jis ka amr har shay mein naafiz, us ka 'ilm har shay kay saath hai. Us ki qudrat har cheez tak pohnchi hu'i hai. Banday us ki ne'maton ka shumaar nahin kar saktay hain. Makhlooqaat us ki manzil-e-shukr tak pohnch nahin saktay hain. Khayaalaat us kay jalaal ko paa nahin saktay hain. Ohaam us ki haqeeqat tak nahin pohnch saktay hain. 'Azmat aur kibriyaa'i us ki ridaa hai. Us kay 'ilaawah kisi ka koi mulk nahin hai aur us ki 'ataa kay 'ilaawah kisi ki koi 'ataa nahin hai.
(56) يَا مَنْ لَهُ الْمَثَلُ الْاَعْلٰى، يَا مَنْ لَهُ الصِّفَاتُ الْعُلْيَا، يَا مَنْ لَهُ الْاٰخِرَةُ وَالْاُوْلىٰ، يَا مَنْ لَهُ الْجَنَّةُ الْمَاْوٰى، يَا مَنْ لَهُ الْاٰيَاتُ الْكُبْرٰى، يَا مَنْ لَهُ الْاَسْمَاۤءُ الْحُسْنٰى، يَا مَنْ لَهُ الْحُكْمُ وَالْقَضَاۤءُ، يَا مَنْ لَهُ الْهَوَاۤءُ وَالْفَضَاۤءُ، يَا مَنْ لَهُ الْعَرْشُ وَالثَّرٰى، يَا مَنْ لَهُ السَّمَاوٰاتُ الْعُلٰى۔
(56) Ay woh jis kay liye behtareen misaalein hain. Ay woh jis kay liye buland tareen sifaat hain. Ay woh jis kay liye dunya-o-aakhirat hai. Ay woh jis kay liye Jannat ul-Na'eem hai. Ay woh jis kay liye buland tareen nishaaniyaan hain. Ay woh jis kay liye haseen tareen naam hain. Ay woh jisay faislah karnay ka haqq hai. Ay woh jis kay qabzay mein hawaa aur fizaa hai. Ay woh jis kay ikhtiyaar mein aasman-o-zameen hai. Ay woh jo buland tareen aasmanon ka maalik hai.
(57) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا عَفُوُّ، يَا غَفُوْرُ، يَا صَبُوْرُ، يَا شَكُوْرُ، يَا رَؤُوْفُ، يَا عَطُوْفُ، يَا مَسْؤُوْلُ، يَا وَدُوْدُ، يَا سُبُّوْحُ، يَا قُدُّوْسُ۔
(57) Khudaaya mein tujh say teray hi naam kay waseelay say sawaal karta hoon ay ma'aaf karnay waalay, bakhshnay waalay, sabr karnay waalay, aur qadardaani karnay waalay. Ay mehrbaan, ay rahm karnay waalay, ay jis say maanga jaata hai. Ay muhabbat karnay waalay. Ay paakeezah sifaat aur ay muqaddas zaat waalay.
(58) يَا مَنْ فِي السَّمَاۤءِ عَظَمَتُهُ، يَا مَنْ فِي الْاَرْضِ اٰيَاتُهُ، يَا مَنْ فِي كُلِّ شَيْئٍ دَلَآئِلُهُ، يَا مَنْ فِي الْبِحَارِ عَجَآئِبُهُ، يَا مَنْ فِي الْجِبَالِ خَزَآئِنُهُ، يَا مَنْ يُبْدَ اُلْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيْدُهُ، يَا مَنْ اِلَيْهِ يَرْجِعُ الْاَمْرُ كُلُّهُ، يَا مَنْ اَظْهَرَ فِي كُلِّ شَيْئٍ لُطْفَهُ، يَا مَنْ اَحْسَنَ كُلَّ شَيْئٍ خَلْقَهُ، يَا مَنْ تَصَرَّفَ فِي الْخَلَآئِقِ قُدْرَتُهُ۔
(58) Ay woh jis ki 'azmat aasmanon mein hai aur us ki nishaaniyaan zameen mein hain. Har shay mein us kay dalaa'il hain aur samundaron mein us kay 'ajaa'ibaat hain aur pahaaron mein us kay khazaanay hain. Ay woh jo takhleeq ko eejaad karta hai aur phir dobaarah waapas bhi laata hai. Ay woh jis ki taraf tamaam umoor ki baazgasht hai. Ay woh jis nay har shay par apnay lutf ka izhaar kiya hai aur har shay ki khilqat ko haseen tareen banaaya hai aur us ki qudrat tamaam makhlooqaat par tasarrruf kar rahi hai.
(59) يَا حَبِيْبَ مَنْ لَاحَبِيْبَ لَهُ، يَا طَبِيْبَ مَنْ لَا طَبِيْبَ لَهُ، يَا مُجِيْبَ مَنْ لَا مُجِيْبَ لَهُ، يَا شَفِيْقَ مَنْ لَا شَفِيْقَ لَهُ، يَا رَفِيْقَ مَنْ لَا رَفِيْقَ لَهُ، يَا مُغِيْثَ مَنْ لَا مُغِيْثَ لَهُ، يَا دَلِيْلَ مَنْ لَا دَلِيْلَ لَهُ، يَا اَنِيْسَ مَنْ لَا اَنِيْسَ لَهُ، يَا رَاحِمَ مَنْ لَا رَاحِمَ لَهُ، يَا صَاحِبَ مَنْ لَا صَاحِبَ لَهُ۔
(59) Ay us kay dost jis ka koi dost nahin hai. Ay us kay tabeeb jis ka koi mu'aalij nahin hai. Jis ki koi nah sunay us ki sunnay waala aur jis par koi mehrbaani nah karay us par mehrbaan hai. Har be-sahaara ka saathi hai aur har be-aasraa ka faryaad ras hai. Har be-rahnuma ka rahnuma hai aur har be-anees ka anees-o-moonis hai. Jis par koi rahm nah karay us par rahm karnay waala hai aur jis ka koi saathi nah ho us ka saathi hai.
(60) يَا كَافِيَ مَنِ اسْتَكْفَاهُ، يَا هَادِيَ مَنِ اسْتَهْدَاهُ، يَا كَالِيَ مَنِ اسْتَكْلَاهُ، يَا رَاعِيَ مَنِ اسْتَرْعَاهُ، يَا شَافِيَ مَنِ اسْتَشْفَاهُ، يَا قَاضِيَ مَنِ اسْتَقْضَاهُ، يَا مُغْنِيَ مَنِ اسْتَغْنَاهُ، يَا مُوْفِيَ مَنِ اسْتَوْفَاهُ، يَا مُقَوِّيَ مَنِ اسْتَقْوَاهُ، يَا وَلِيَّ مَنِ اسْتَوْلَاهُ۔
(60) Ay talab-e-imdaad karnay waalay kay liye Kaafi aur talab-e-hidaayat karnay waalay kay Haadi, talab-e-hifaazat karnay waalay kay Muhaafiz aur talab-e-ri'aayat karnay waalay kay Nigraan. Talab-e-shifaa karnay waalay kay Shaafi aur talab-e-qazaawat karnay waalay kay Qaazi. Talab-e-istighnaa karnay waalay kay be-niyaaz banaanay waalay aur talab-e-kamaal karnay waalay ko sab kuch 'ataa karnay waalay. Taaqat kay talabgaaron ko taaqat denay waalay aur wilaayat kay khaahaanon kay Wali-o-Sarparast.
(61) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا خَالِقُ، يَا رَازِقُ، يَا نَاطِقُ، يَا صَادِقُ، يَا فَالِقُ، يَا فَارِقُ، يَا فَاتِقُ، يَا رَاتِقُ، يَا سَابِقُ، يَا سَامِقُ۔
(61) Khudaaya mein tujh say teray naam hi kay waseelay say sawaal kar raha hoon. Ay Khaaliq, ay Raaziq, ay Naatiq, ay Saadiq, ay daana ko shigaaftah karnay waalay, makhlooqaat ko alag karnay waalay. Tornay aur jornay, sab par sabqat rakhnay waalay aur buland-o-baalaa hasti waalay.
(62) يَا مَنْ يُقَلِّبُ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ، يَا مَنْ جَعَلَ الظُّلُمَاتِ وَالْاَنْوَارَ، يَا مَنْ خَلَقَ الظِّلَّ وَالْحَرُوْرَ، يَا مَنْ سَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ، يَا مَنْ قَدَّرَ الْخَيْرَ وَالشَّرَّ، يَا مَنْ خَلَقَ الْمَوْتَ وَالْحَيَاةَ، يَا مَنْ لَهُ الْخَلْقُ وَالْاَمْرُ، يَا مَنْ لَمْ يَتَّخِذْ صَاحِبَةً وَلَا وَلَدًا، يَا مَنْ لَيْسَ لَهُ شَرِيْكٌ فِي الْمُلْكِ، يَا مَنْ لَمْ يَكُنْ لَهُ وَلِيُّ مِنَ الذُّلِّ۔
(62) Ay din aur raat ko gardish denay waalay, ay zulmat-o-noor kay muqaddar karnay waalay. Ay dhoop chhaon kay paida karnay waalay. Ay aaftaab-o-mahtaab ki taskheer karnay waalay. Ay meray khair-o-sharr kay faislah karnay waalay. Ay maut-o-hayaat kay Khaaliq. Ay khalq-o-amr kay saahib-e-ikhtiyaar. Ay jis ki nah koi shareek-e-zindagi hai aur nah farzand. Ay jis ka nah koi shareek hai aur nah kamzori ka sahaara.
(63) يَا مَنْ يَعْلَمُ مُرَادَ الْمُرِيْدِيْنَ، يَا مَنْ يَعْلَمُ ضَمِيْرَ الصَّامِتِيْنَ، يَا مَنْ يَسْمَعُ اَنِيْنَ الْوَاهِنِيْنَ، يَا مَنْ يَرٰى بُكَاۤءَ الْخَاۤئِفِيْنَ، يَا مَنْ يَمْلِكُ حَوَآئِجَ السَّآئِلِيْنَ، يَا مَنْ يَقْبَلُ عُذْرَ التَّآئِبِيْنَ، يَا مَنْ لَا يُصْلِحُ عَمَلَ الْمُفْسِدِيْنَ، يَا مَنْ لَا يُضِيْعُ اَجْرَ الْمُحْسِنِيْنَ، يَا مَنْ لَايَبْعُدُ عَنْ قُلُوْبِ الْعَارِفِيْنَ، يَا اَجْوَدَ الْاَجْوَدِيْنَ۔
(63) Ay woh kay jo mureedon ki muraad aur khaamosh rehnay waalon kay zameer ka 'ilm rakhta hai. Ay woh jo kamzoron ki aahon ko sunta hai aur khauf zadah logon kay giriyah ko dekhta rehta hai. Ay woh jo saahiliyon ki zarooraton ka khayaal rakhta hai aur taubah karnay waalon kay 'uzr ko qabool karta hai. Ay woh jo mufsideen kay a'maal ko saaleh nahin qaraar deta hai aur naik kirdaaron kay ajr ko zaaya' nahin karta hai. Ay woh jo 'aarifon kay dil say door nahin hota hai aur tamaam kareemon say baraa Kareem hai.
(64) يَا دَآئِمَ الْبَقَاۤءِ، يَا سَامِعَ الدُّعَاۤءِ، يَا وَاسِعَ الْعَطَاۤءِ، يَا غَافِرَ الْخَطَاۤءِ، يَا بَدِيْعَ السَّمَاۤءِ، يَا حَسَنَ الْبَلَاۤءِ، يَا جَمِيلَ الثَّنَاۤءِ، يَا قَدِيْمَ السَّنَاۤءِ، يَا كَثِيْرَ الْوَفَاۤءِ، يَا شَرِيْفَ الْجَزَاۤءِ۔
(64) Ay hamesha rehnay waalay, ay har du'a kay sunnay waalay, ay wasee' 'ataa karnay waalay, ay har khataa'on kay bakhshnay waalay, ay aasmanon kay mowjid, ay behtareen 'ataa'on waalay. Ay behtareen thanaa kay maalik, ay qadeem tareen bulandi waalay, ay bahut ziyadah wafaa karnay waalay aur behtareen jazaa denay waalay.
(65) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا سَتَّارُ، يَا غَفَّارُ، يَا قَهَّارُ، يَا جَبَّارُ، يَا صَبَّارُ، يَا بَآرُّ، يَا مُخْتَارُ، يَا فَتَّاحُ، يَا نَفَّاحُ، يَا مُرْتَاحُ۔
(65) Ay Khuda mein teray hi naam kay waseelay say sawaal kar raha hoon, Ay Pardah Posh, ay Bakhshnay waalay, ay Ghaalib, ay Saahib-e-Iqtidaar, ay Sabr karnay waalay, ay neki karnay waalay, ay Saahib-e-Ikhtiyaar, ay aaghaaz karnay waalay, ay raahat denay waalay, ay aaraam bakhshnay waalay.
(66) يَا مَنْ خَلَقَنِي وَسَوَّانِي، يَا مَنْ رَزَقَنِي وَرَبَّانِي، يَا مَنْ اَطْعَمَنِي وَسَقَانِي، يَا مَنْ قَرَّبَنِي وَاَدْنَانِي، يَا مَنْ عَصَمَنِي وَكَفَانِي، يَا مَنْ حَفَظَنِيْ وَكَلَانِيْ، يَا مَنْ اَعَزَّنِيْ وَاَغْنَانِي، يَا مَنْ وَفَّقَنِي وَهَدَانِي، يَا مَنْ اٰنَسَنِي وَاٰوَانِيْ، يَا مَنْ اَمَاتَنِيْ وَاَحْيَانِي۔
(66) Ay woh jis nay banaaya aur durust banaaya, ay woh jis nay rozi dee aur tarbiyat ki, ay woh jis nay khilaaya aur pilaaya. Ay woh jis nay qurbat dee aur taqreeb ka sharaf bakhsha. Ay woh jis nay hifaazat-o-himaayat ki. Ay woh jis nay tahaffuz-o-ri'aayat ka kaam anjaam diya. Ay woh jis nay 'izzat aur maal-daari 'inaayat ki. Ay woh jis nay taufeeq aur hidaayat dee. Ay woh jis nay uns aur panaah 'inaayat ki. Ay woh jis nay maut-o-hayaat 'ataa ki.
(67) يَا مَنْ يُحِقُّ الْحَقَّ بِكَلِمَاتِهِ، يَا مَنْ يَقْبَلُ التَّوْبَةَ عَنْ عِبَادِهِ، يَا مَنْ يَحُوْلُ بَيْنَ الْمَرْءِ وَقَلْبِهِ، يَا مَنْ لَاتَنْفَعُ الشَّفَاعَةُ اِلَّا بِاِذْنِهِ، يَا مَنْ هُوَ اَعْلَمُ بِمَنْ ضَلَّ عَنْ سَبِيْلِهِ، يَا مَنْ لَامُعَقِّبَ لِحُكْمِهِ، يَا مَنْ لَا رَآدَّ لِقَضَآئِهِ، يَا مَنِ انْقَادَ كُلُّ شَيْئٍ لِاَمْرِهِ، يَا مَنِ السَّمَاوٰاتُ مَطْوِيَّاتٌ بِيَمِيْنِهِ، يَا مَنْ يُرْسِلُ الرِّيَاحَ بُشْرًا بَيْنَ يَدَيْ رَحْمَتِهِ۔
(67) Ay woh jo apnay kalimaat say haqq ko saabit kar deta hai aur apnay bandon ki taubah ko qabool kar leta hai. Ay woh jo insaan aur us kay dil kay darmiyaan haa'il ho jaata hai aur us ki ijaazat kay baghair kisi ki shafa'at kaam nahin aa sakti hai. Ay woh jo behak jaanay waalon ko khoob pehchaanta hai aur usay woh jis kay hukm ka koi badalnay waala nahin hai. Ay woh jis kay faislay ko koi badalnay waala nahin hai aur har shay us kay hukm kay saamnay saraapa tasleem hai. Ay woh jis kay haathon mein aasman lipat'ay huay hain aur hawaa'on ko rehmat ki bashaarat day kar rawaanah karta hai.
(68) يَا مَنْ جَعَلَ الْاَرْضَ مِهَادًا، يَا مَنْ جَعَلَ الْجِبَالَ اَوْتَادًا، يَا مَنْ جَعَلَ الشَّمْسَ سِرَاجًا، يَا مَنْ جَعَلَ الْقَمَرَ نُوْرًا، يَا مَنْ جَعَلَ اللَّيْلَ لِبَاسًا، يَا مَنْ جَعَلَ النَّهَارَ مَعَاشًا، يَا مَنْ جَعَلَ النَّوْمَ سُبَاتًا، يَا مَنْ جَعَلَ السَّمَاۤءَ بِنَاۤءً، يَا مَنْ جَعَلَ الْاَشْيَاۤءَ اَزْوَاجًا، يَا مَنْ جَعَلَ النَّارَ مِرْصَادًا۔
(68) Ay woh jis nay zameen ko gehwaarah banaaya hai. Ay woh jis nay pahaaron ko mekh mein qaraar diya hai. Ay woh jis nay aaftaab ko charaagh banaaya hai aur mahtaab ko noor qaraar diya hai. Ay woh jis nay raat ko poshesh ka zariyeh banaaya hai aur din ko waseelah-e-rozi qaraar diya hai. Aur woh jis nay neend ko aaraam deh qaraar diya hai aur aasman ko shaamiyaanah banaa diya hai aur har cheez ko joraa qaraar diya hai. Aur jahannum ko be-deenon ki taak mein rakh diya hai.
(69) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا سَمِيْعُ، يَا شَفِيْعُ، يَا رَفِيْعُ، يَا مَنِيْعُ، يَا سَرِيْعُ، يَا بَدِيْعُ، يَا كَبِيْرُ، يَا قَدِيْرُ، يَا خَبِيْرُ، يَا مُجِيْرُ۔
(69) Khudaaya mein tujh say teray hi naam kay waseelay say du'a karta hoon ay Sunnay waalay, ay Sifaarish qabool karnay waalay, ay Buland Martabah, ay Muhaafiz, ay Jaldi Hisaab karnay waalay, ay Mowjid, ay Buzurg, ay Qaadir, ay Baa-Khabar aur ay Panaah denay waalay.
(70) يَا حَيًّا قَبْلَّ كُلِّ حَيٍّ، يَا حَيًّا بَعْدَ كُلِّ حَيٍّ، يَا حَيُّ الَّذِيْ لَيْسَ كَمِثْلِهِ حَيٌّ، يَا حَيُّ الَّذِيْ لَا يُشَارِكُهُ حَيُّ، يَا حَيُّ الَّذِيْ لَايَحْتَاجُ اِلٰى حَيٍّ، يَا حَيُّ الَّذِيْ يُمِيْتُ كُلَّ حَيٍّ، يَا حَيُّ الَّذِيْ يَرْزُقُ كُلَّ حَيٍّ، يَا حَيًّا لَمْ يَرِثِ الْحَيَاةَ مِنْ حَيٍّ، يَا حَيُّ الَّذِيْ يُحْيِيْ الْمَوْتٰى، يَا حَيُّ يَاقَيُّوْمُ لَاتَاْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَانَوْمٌ۔
(70) Ay har zindah say qabl Saahib-e-Hayaat aur ay har zindah kay ba'd Zindah rehnay waalay, ay woh Zindah jis ka koi misl nahin hai. Ay woh Zindah jis ki hayaat mein koi shareek nahin hai. Ay woh Zindah jo kisi zindah ka muhtaaj nahin hai. Ay woh Zindah jo zindah ko maut denay waala hai. Ay woh Zindah jo har zindah ko rozi denay waala hai. Ay woh Zindah jis ki zindagi kisi ka tarkah nahin hai. Aur ay woh Zindah jo har murdah ko zindagi deta hai. Ay Zindah. Ay Qaa'im rehnay waalay jis par nah kisi neend ka ghalbah hota hai aur nah kisi oongh ka.
(71) يَا مَنْ لَهُ ذِكْرٌ لَايُنْسٰى، يَا مَنْ لَهُ نُوْرٌ لَا يُطْفٰى، يَا مَنْ لَهُ نِعَمٌ لَا تُعَدُّ، يَا مَنْ لَهُ مُلْكٌ لَا يَزُوْلُ، يَا مَنْ لَهُ ثَنَاۤءٌ لَا يُحْصٰى، يَا مَنْ لَهُ جَلَالٌ لَا يُكَيَّفُ، يَا مَنْ لَهُ كَمَالٌ لَا يُدْرَكُ، يَا مَنْ لَهُ قَضَاۤءٌ لَا يُرَدُّ، يَا مَنْ لَهُ صِفَاتٌ لَا تُبَدَّلُ، يَا مَنْ لَهُ نُعُوْتٌ لَا تُغَيَّرُ۔
(71) Ay woh jis ki faryaad faraamosh honay waali nahin hai, ay woh jis ka noor bujhnay waala nahin hai. Ay woh jis ki ne'maton ka shumaar nahin hai. Ay woh jis kay mulk ko zawaal nahin hai. Ay woh jis ki thanaa ka ehsaa nahin ho sakta hai. Aur ay woh jis kay jalaal ki koi kaifiyat mu'ayyan nahin hai. Ay woh jis kay kamaal ka idraak nahin ho sakta hai aur us kay faislah ko radd nahin kiya jaa sakta hai. Ay woh jis kay sifaat naa qaabil-e-tabdeeli hain. Aur us kay awsaf naa qaabil-e-taghayyur hain.
(72) يَا رَبَّ الْعَالَمِيْنَ، يَا مَالِكَ يَوْمِ الدِّيْنِ، يَا غَايَةَ الطَّالِبِيْنَ، يَا ظَهْرَ الْلَاجِيْنَ، يَا مُدْرِكَ الْهَارِبِيْنَ، يَا مَنْ يُحِبُّ الصَّابِرِيْنَ، يَا مَنْ يُحِبُّ التَّوَّابِيْنَ، يَا مَنْ يُحِبُّ الْمُتَطَهِّرِيْنَ، يَا مَنْ يُحِبُّ الْمُحْسِنِيْنَ، يَا مَنْ هُوَ اَعْلَمُ بِالْمُهْتَدِيْنَ۔
(72) Ay 'Aalameen kay Parwardigaar, ay Roz-e-Jazaa kay Maalik, ay talabgaaron ki aakhiri manzil, ay panaah kay talabgaaron kay sahaaray, ay bhaagnay waalon ko pakar lenay waalay. Ay saabiron say muhabbat karnay waalay, ay taubah karnay waalon ko dost rakhnay waalay, ay paakeezah rehnay waalon say muhabbat karnay waalay. Ay naik kirdaaron kay chaahnay waalay aur hidaayat yaaftah afraad kay ba-khoobi jaan'nay waalay.
(73) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا شَفِيْقُ، يَا رَفِيْقُ، يَا حَفِيْظُ، يَا مُحِيْطُ، يَا مُقِيْتُ، يَا مُغِيْثُ، يَا مُعِزُّ، يَا مُذِلُّ، يَا مُبْدِيُ، يَا مُعِيْدُ۔
(73) Khudaaya mein tujh say teray hi naam kay waseelay say du'a karta hoon. Ay Shafiq, ay Rafeeq, ay Hafeez, ay ehaatah karnay waalay, ay waqt mu'ayyan karnay waalay, ay Faryaad Ras, ay 'Izzat-o-Zillat kay Maalik, ay aaghaaz-o-anjaam kay Saahib-e-Ikhtiyaar.
(74) يَا مَنْ هُوَ اَحَدٌ بِلَا ضِدٍّ، يَا مَنْ هُوَ فَرْدٌ بِلَا نِدٍّ، يَا مَنْ هُوَ صَمَدٌ بِلَا عَيْبٍ، يَا مَنْ هُوَ وِتْرٌ بِلَا كَيْفٍ، يَا مَنْ هُوَ قَاضٍ بِلَا حَيْفٍ، يَا مَنْ هُوَ رَبُّ بِلَا وَزِيْرٍ، يَا مَنْ هُوَ عَزِيْزٌ بِلَا ذُلٍّ، يَا مَنْ هُوَ غَنِيٌّ بِلَا فَقْرٍ، يَا مَنْ هُوَ مَلِكٌ بِلَا عَزْلٍ، يَا مَنْ هُوَ مَوْصُوْفٌ بِلَا شَبِيْهٍ۔
(74) Ay woh jo akelaa hai aur us ki koi zidd nahin hai. Tanhaa hai aur us ka koi misl nahin hai. Woh Samad hai aur us mein koi 'aib nahin hai. Woh dekhta hai aur us ki koi kaifiyat nahin hai. Woh faislah karnay waala hai aur us kay faislay mein koi zulm nahin hai. Woh Maalik-e-Bila Wazeer hai aur 'Azeez-e-Bila Zillat hai. Woh Ghani-e-Bila Faqeer hai aur Baadshah-e-Bila 'Azal hai. Woh aisa mawsoof hai jis ki koi shabeeh nahin hai.
(75) يَا مَنْ ذِكْرُهُ شَرَفُ لِلذَّاكِرِيْنَ، يَا مَنْ شُكْرُهُ فَوْزٌ لِلشَّاكِرِيْنَ، يَا مَنْ حَمْدُهُ عِزُّ لِلْحَامِدِيْنَ، يَا مَنْ طَاعَتُهُ نَجَاةٌ لِلْمُطِيْعِيْنَ، يَا مَنْ بَابُهُ مَفْتُوْحٌ لِلطَّالِبِيْنَ، يَا مَنْ سَبِيْلُهُ وَاضِحٌ لِلْمُنِيْبِيْنَ، يَا مَنْ اٰيَاتُهُ بُرْهَانٌ لِلْنَّاظِرِيْنَ، يَا مَنْ كِتَابُهُ تَذْكِرَةٌ لِلْمُتَّقِيْنَ، يَا مَنْ رِزْقُهُ عُمُوْمٌ لِلطَّاۤئِعِيْنَ وَالْعَاصِيْنَ، يَا مَنْ رَحْمَتُهُ قَرِيْبٌ مِنَ المُحْسِنِيْنَ۔
(75) Ay woh Parwardigaar jis ka zikr zaakireen kay liye sharaf aur us ka shukr shaakireen kay liye waseelah-e-kaamraani hai. Us ki hamd hamd karnay waalon ki 'izzat hai aur us ki itaa'at itaa'at guzaaron ki nijaat hai. Us ka darwaazah talabgaaron kay liye khulaa hua hai aur us ka raastah us ki taraf jaanay waalon kay liye waazeh hai. Us ki nishaaniyaan naazireen kay liye burhaan hain aur us ki kitaab muttaqeen kay liye waseelah-e-yaad dehaani hai. Us ka rizq itaa'at guzaaron aur gunahgaaron sab kay liye 'aam hai aur us ki rehmat naik kirdaaron say qareeb tar hai.
(76) يَا مَنْ تَبَارَكَ اسْمُهُ، يَا مَنْ تَعَالٰى جَدُّهُ، يَا مَنْ لَا اِلٰهَ غَيْرُهُ، يَا مَنْ جَلَّ ثَنَآؤُهُ، يَا مَنْ تَقَدَّسَتْ اَسْمَآؤُهُ، يَا مَنْ يَدُوْمُ بَقَآؤُهُ، يَا مَنِ الْعَظَمَةُ بَهَآؤُهُ، يَا مَنِ الْكِبْرِيَاۤءُ رِدَآؤُهُ، يَا مَنْ لَاتُحْصٰى اٰلَآؤُهُ، يَا مَنْ لَا تُعَدُّ نَعْمَآؤُهُ۔
(76) Ay woh Parwardigaar jis ka naam Mubaarak aur us ki 'azmat buland hai. Us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai. Us ki thanaa Jaleel hai. Us kay naam paakeezah hain aur us ki baqaa daa'imi hai. 'Azmat us ki nishaani hai aur kibriyaa'i us ki ridaa hai. Ay woh jis ki bakhshishon ka ehsaa nahin hai aur jis ki ne'maton ka shumaar nahin hai.
(77) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مُعِيْنُ، يَا اَمِيْنُ، يَا مُبِيْنُ، يَا مَتِيْنُ، يَا مَكِيْنُ، يَا رَشِيْدُ، يَا حَمِيْدُ، يَا مَجِيْدُ، يَا شَدِيْدُ، يَا شَهِيْدُ۔
(77) Khudaaya mein tujh say teray hi naamon kay waseelay say sawaal karta hoon ay Madadgaar, ay Diyaanatdaar, ay Waazeh karnay waalay, ay Saahib-e-Quwwat, ay Saahib-e-Manzilat, ay Rasheed, ay Hameed, ay Majeed, ay Shadeed, ay Shaheed.
(78) يَا ذَا الْعَرْشِ الْمَجِيْدِ، يَا ذَا الْقَوْلِ السَّدِيْدِ، يَا ذَا الْفِعْلِ الرَّشِيْدِ، يَا ذَا الْبَطْشِ الشَّدِيْدِ، يَا ذَا الْوَعْدِ وَالْوَعِيْدِ، يَا مَنْ هُوَ الْوَلِيُّ الْحَمِيْدُ، يَا مَنْ هُوَ فَعَّالٌ لِمَا يُرِيْدُ، يَا مَنْ هُوَ قَرِيْبٌ غَيْرُ بَعِيْدٍ، يَا مَنْ هُوَ عَلٰى كُلِّ شَيْئٍ شَهِيْدٌ، يَا مَنْ هُوَ لَيْسَ بِظَلَامٍ لِلْعَبِيْدِ۔
(78) Ay 'Arsh-e-Majeed waalay, ay harf-e-saheeh waalay, ay 'aml-e-rasheed waalay, ay hamlah-e-shadeed waalay, ay wa'dah-o-wa'eed waalay. Ay woh jo Wali bhi hai aur Hameed bhi hai. Ay woh jo har iraadah ka mukammal karnay waala hai. Ay woh jo Qareeb hai ba'eed nahin hai. Ay woh jo har shay ka gawaah hai aur apnay bandon par zulm karnay waala nahin hai.
(79) يَا مَنْ لَا شَرِيْكَ لَهُ وَلَا وَزِيْرَ، يَا مَنْ لَا شَبِيْهَ لَهُ وَلَا نَظِيْرَ، يَا خَالِقَ الشَّمْسِ وَالْقَمَرِ الْمُنِيْرِ، يَا مُغْنِيَ الْبَآئِسِ الْفَقِيْرِ، يَا رَازِقَ الطِّفْلِ الصَّغِيْرِ، يَا رَاحِمَ الشَّيْخِ الْكَبِيْرِ، يَا جابِرَ الْعَظْمِ الْكَسِيْرِ، يَا عِصْمَةَ الْخَآئِفِ الْمُسْتَجِيْرِ، يَا مَنْ هُوَ بِعِبَادِهِ خَبِيْرٌ بَصِيْرٌ، يَا مَنْ هُوَ عَلٰى كُلِّ شَيْئٍ قَدِيْرٌ۔
(79) Ay woh jis ka nah shareek hai nah wazeer, nah shabeeh hai nah misl-o-nazeer. Ay aaftaab-o-mahtaab-e-darakhshaan kay Khaaliq. Ay faqeer-o-tang dast kay ghani banaanay waalay. Ay tifl-e-sagheer ki rozi denay waalay. Ay peer-e-kabeer par rahm karnay waalay, ay ustukhwaan-e-shikastah kay jornay waalay. Ay khauf zadah taalib-e-panaah kay muhaafiz. Ay woh jo apnay bandon say baa-khabar hai aur har shay par qudrat rakhnay waala hai.
(80) يَا ذَا الْجُوْدِ وَالنِّعَمِ، يَا ذَا الْفَضْلِ وَالْكَرَمِ، يَا خَالِقَ اللَّوْحِ وَالْقَلَمِ، يَا بَارِيَ الذَّرِّ وَالنَّسَمِ، يَا ذَا الْبَاْسِ وَالنِّقَمِ، يَا مُلْهِمَ الْعَرَبِ وَالْعَجَمِ، يَا كَاشِفَ الضُّرِّ وَالْالَمِ، يَا عَالِمَ السِّرِّ وَالْهِمَمِ، يَا رَبَّ الْبَيْتِ وَالْحَرَمِ، يَا مَنْ خَلَقَ الْاَشْيَاۤءَ مِنَ الْعَدَمِ۔
(80) Ay Saahib-e-Jood-o-Ne'mat, ay Saahib-e-Fazl-o-Karam, ay Khaaliq-e-Lauh-o-Qalam. Ay har jaan-daar kay paida karnay waalay. Ay Saahib-e-'Azaab-o-'Itaab. Ay 'Arab-o-'Ajam kay ilhaam karnay waalay. Ay ranj-o-gham kay door karnay waalay. Ay makhfi raazon aur iraadon kay jaan'nay waalay. Ay Khaanah-e-Ka'bah aur Haram kay Maalik aur ay ashyaa kay 'adam say wujood mein laanay waalay.
(81) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا فَاعِلُ، يَا جَاعِلُ، يَا قَابِلُ، يَا كَامِلُ، يَا فَاصِلُ، يَا وَاصِلُ، يَا عَادِلُ، يَا غَالِبُ، يَا طَالِبُ، يَا وَاهِبُ۔
(81) Khudaaya mein tujh say teray naam kay waseelah say du'a kar raha hoon. Ay kaam karnay waalay, muqaddar saaz, qabool karnay waalay, kaamil, alag karnay waalay aur milaanay waalay, insaaf karnay waalay. Ghaalib, Taalib aur 'ataa karnay waalay.
(82) يَا مَنْ اَنْعَمَ بِطَوْلِهِ، يَا مَنْ اَكْرَمَ بِجُوْدِهِ، يَا مَنْ جَادَ بِلُطْفِهِ، يَا مَنْ تَعَزَّزَ بِقُدْرَتِهِ، يَا مَنْ قَدَّرَ بِحِكْمَتِهِ، يَا مَنْ حَكَمَ بِتَدْبِيْرِهِ، يَا مَنْ دَبَّرَ بِعِلْمِهِ، يَا مَنْ تَجَاوَزَ بِحِلْمِهِ، يَا مَنْ دَنَا فِي عُلُوِّهِ، يَا مَنْ عَلَا فِي دُنُوِّهِ۔
(82) Ay woh jis nay apnay karam say ne'matein dein. Apnay jood say nawaaza, apnay lutf say karam kiya. Apni qudrat ki bina par saahib-e-'izzat hai. Apni hikmat say taqdeer saazi ki hai aur apni tadbeer say faislah kiya hai. Ay woh jis nay apnay 'ilm say tadbeer ki hai aur apnay hilm say ma'aaf kiya hai. Ay woh jo har bulandi kay baa-wujood Qareeb hai aur Qareeb honay kay baa-wujood Buland hai.
(83) يَا مَنْ يَخْلُقُ مَا يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يَفْعَلُ مَا يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يَهْدِيْ مَنْ يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يُضِلُّ مَنْ يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يُعَذِّبُ مَنْ يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يَغْفِرُ لِمَنْ يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يُعِزُّ مَنْ يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يُذِلُّ مَنْ يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يُصَوِّرُ فِي الْاَرْحَامِ مَا يَشَاۤءُ، يَا مَنْ يَخْتَصُّ بِرَحْمَتِهِ مَنْ يَشَاۤءُ۔
(83) Ay woh jo har cheez ka paida karnay waala hai, jo chaahay woh karnay waala hai. Jis ko chaahay hidaayat denay waala hai, jis ko chaahay gumraahi mein chhor denay waala hai. Jis par chaahay 'azaab karnay waala hai. Aur jis ko chaahay bakhsh denay waala hai. Jisay chahta hai 'izzat deta hai aur jisay chahta hai zaleel kar deta hai aur arhaam mein jisay chaahay waisi tasweer banaata hai aur jis ko chahta hai apni rehmat kay liye makhsoos kar leta hai.
(84) يَا مَنْ لَمْ يَتَّخِذْ صَاحِبَةً وَلَا وَلَدًا، يَا مَنْ جَعَلَ لِكُلِّ شَيْئٍ قَدْرًا، يَا مَنْ لَا يُشْرِكُ فِي حُكْمِهِ اَحَدًا، يَا مَنْ جَعَلَ الْمَلَآئِكَةِ رُسُلًا، يَا مَنْ جَعَلَ فِي السَّمَاۤءِ بُرُوْجًا، يَا مَنْ جَعَلَ الْاَرْضَ قَرَارًا، يَا مَنْ خَلَقَ مِنَ الْمَاۤءِ بَشَرًا، يَا مَنْ جَعَلَ لِكُلِّ شَيْئٍ اَمَدًا، يَا مَنْ اَحَاطَ بِكُلِّ شَيْئٍ عِلْمًا، يَا مَنْ اَحْصٰى كُلَّ شَيْئٍ عَدَدًا۔
(84) Ay woh jis nay nah shareek-e-zindagi banaa'i nah aulaad. Har shay ki ek miqdaar mu'ayyan kar dee aur apnay hukm mein kisi ko shareek nahin banaaya. Malaa'ikah ko apna numaa'indah qaraar diya. Aasmaan mein burooj qaa'im kiye. Zameen ko mustaqarr qaraar diya. Paani say aadmi paida kiya. Har shay ki ek intihaa mu'ayyan ki. Har shay par apnay 'ilm say muheet raha. Aur har shay ka hisaab apnay haath mein likha.
(85) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا اَوَّلُ، يَا اٰخِرُ، يَا ظَاهِرُ،یَابَاطِنُ، يَا بَرُّ، يَا حَقُّ، يَا فَرْدُ، يَا وِتْرُ، يَا صَمَدُ، يَا سَرْمَدُ۔
(85) Khudaaya mein tujh say teray naam kay waseelah say du'a karta hoon. Ay Awwal, ay Aakhir, ay Zaahir, ay Baatin, ay Naik, ay Haqq, ay Yaktaa, ay Tanhaa, ay Be-Niyaaz aur ay Hamesha Rehnay waalay.
(86) يَا خَيْرَ مَعْرُوْفٍ عُرِفَ، يَا اَفْضَلَ مَعْبُوْدٍ عُبِدَ، يَا اَجَلَّ مَشْكُوْرٍ شُكِرَ، يَا اَعَزَّ مَذْكُوْرٍ ذُكِرَ، يَا اَعْلٰى مَحْمُوْدٍ حُمِدَ، يَا اَقْدَمَ مَوْجُوْدٍ طُلِبَ، يَا اَرْفَعَ مَوْصُوْفٍ وُصِفَ، يَا اَكْبَرَ مَقْصُوْدٍ قُصِدَ، يَا اَكْرَمَ مَسْؤُوْلٍ سُئِلَ، يَا اَشْرَفَ مَحْبُوْبٍ عُلِمَ۔
(86) Ay behtareen ma'roof jisay pehchaana gaya aur har buland tareen ma'bood ki jis ki 'ibaadat ki ga'i. Jaleel tareen mashkoor jis ka shukr adaa kiya gaya aur 'azeez tareen mazkoor jis ka zikr kiya gaya. A'alaa mahmood jis ki hamd ki ga'i aur qadeem tareen mawjood jisay talab kiya gaya. Buland tareen mawsoof jis ki tawsif ki ga'i aur buzurg tareen maqsood jis ka iraadah kiya gaya. Kareem tareen mas'ool jis say sawaal kiya gaya aur shareef tareen mehboob jis say log baa khabar huay.
(87) يَا حَبِيْبَ الْبَاكِيْنَ، يَا سَيِّدَ الْمُتَوَكِّلِيْنَ، يَا هَادِيَ الْمُضِلِّيْنَ، يَا وَلِيَّ الْمُؤْمِنِيْنَ، يَا اَنِيْسَ الذَّاكِرِيْنَ، يَا مَفْزَعَ الْمَلْهُوْفِيْنَ، يَا مُنْجِيَ الصَّادِقِيْنَ، يَا اَقْدَرَ الْقَادِرِيْنَ، يَا اَعْلَمَ الْعَالِمِيْنَ، يَا اِلٰهَ الْخَلْقِ اَجْمَعِيْنَ۔
(87) Ay ronay waalon kay mehboob, ay tawakkul waalon kay Aaqaa. Ay gumraahon kay Haadi. Ay mo'mineen kay Wali. Ay zikr karnay waalay kay anees. Ay pareshaan haal ki panaah gaah. Ay saadiqeen kay nijaat denay waalay. Ay qaadireen par bhi qudrat rakhnay waalay. Ay saahibaan-e-'ilm say behtareen jaan'nay waalay aur tamaam makhlooqaat kay Ma'bood.
(88) يَا مَنْ عَلَا فَقَهَرَ، يَا مَنْ مَلَكَ فَقَدَرَ، يَا مَنْ بَطَنَ فَخَبَرَ، يَا مَنْ عُبِدَ فَشَكَرَ، يَا مَنْ عُصِيَ فَغَفَرَ، يَا مَنْ لَاتَحْوِيْهِ الْفِكَرُ، يَا مَنْ لَايُدْرِكُهُ بَصَرٌ، يَا مَنْ لَايَخْفٰى عَلَيْهِ اَثَرٌ، يَا رَازِقَ الْبَشَرِ، يَا مُقَدِّرَ كُلِّ قَدَرٍ۔
(88) Ay woh jis ki bulandi nay sab ko dabaa diya aur us kay mulk nay sab par qudrat haasil kar lee. Woh andar tak ki khabar rakhta hai aur apnay 'ibaadat guzaaron ki qadardaani karta hai. Us ka gunaah kiya jaa'ay to ma'aaf kar deta hai. Aur fikrein us ka ehaatah nahin kar sakti hain. Nigaahein usay dekh nahin sakti hain aur koi nishaan-e-qadam us par makhfi nahin hai. Har bashar ka Raaziq hai aur har taqdeer ka taqdeer saaz.
(89) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا حَافِظُ، يَا بَارِيُ، يَا ذَارِيُ، يَا بَاذِخُ، يَا فَارِجُ، يَا فَاتِحُ، يَا كَاشِفُ، يَا ضَامِنُ، يَا اٰمِرُ، يَا نَاهِيْ۔
(89) Khudaaya mein teray naam kay sahaaray tujh say sawaal karta hoon. Ay Muhaafiz, ay Mowjid, ay Khaaliq, ay Buland-o-Bartar, ay Raahat Rasaan, ay aaghaaz karnay waalay, ay ranj-o-gham kay door karnay waalay, ay zamaanat denay waalay, ay amr-o-nahi karnay waalay.
(90) يَا مَنْ لَايَعْلَمُ الْغَيْبَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَا يَصْرِفُ السُّوٓءَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايَخْلُقُ الْخَلْقَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايَغْفِرُ الذَّنْبَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايُتِمُّ النِّعْمَةَ اِلَّا هُوَ،يَا مَنْ لَا يُقَلِّبَ الْقُلُوْبَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَا يُدَبِّرُ الْاَمْرَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايُنَزِّلُ الْغَيْثَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايَبْسُطُ الرِّزْقَ اِلَّا هُوَ، يَا مَنْ لَايُحْيِى الْمَوْتٰى اِلَّا هُوَ۔
(90) Ay woh jis kay 'ilaawah koi ghaib ka 'aalim nahin hai. Us kay 'ilaawah koi buraa'i ka raf' karnay waala nahin hai. Us kay 'ilaawah koi Khaaliq nahin hai. Us kay 'ilaawah koi gunaahon ka bakhshnay waala nahin hai. Us kay 'ilaawah koi ne'mat ka tamaam karnay waala nahin hai. Us kay 'ilaawah koi dilon ka paltaanay waala nahin hai. Us kay 'ilaawah koi umoor ki tadbeer karnay waala nahin hai. Us kay 'ilaawah koi paani ka barsaanay waala nahin hai. Us kay 'ilaawah koi rizq mein wus'at denay waala nahin hai. Aur us kay 'ilaawah koi murdon ka zindah karnay waala nahin hai.
(91) يَا مُعِيْنَ الضُّعَفَاۤءِ، يَا صَاحِبَ الْغُرَبَاۤءِ، يَا نَاصِرَ الْاَوْلِيَاۤءِ، يَا قَاهِرَ الْاَعْدَاۤءِ، يَا رَافِعَ السَّمَاۤءِ، يَا اَنِيْسَ الْاَصْفِيَاۤءِ، يَا حَبِيْبَ الْاَتْقِيَاۤءِ، يَا كَنْزَ الْفُقَرَاۤءِ، يَا اِلٰهَ الْاَغْنِيَاۤءِ، يَا اَكْرَمَ الْكُرَمَاۤءِ۔
(91) Ay kamzoron kay Madadgaar, ay ghareebon kay Saathi, ay doston kay Naasir. Ay dushmanon kay dabaanay waalay. Ay aasman kay buland karnay waalay. Ay mukhilson kay Anees. Ay muttaqiyon kay Dost, ay faqiron kay Khazaanay. Ay aghniyaa kay Ma'bood aur tamaam kareemon say ziyadah Kareem.
(92) يَا كَافِيًا مِنْ كُلِّ شَيْئٍ، يَا قَاۤئِمًا عَلٰى كُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ لَا يَشْبِهُهُ شَيْئٌ، يَا مَنْ لَايَزِيْدُ فِي مُلْكِهِ شَيْئٌ، يَا مَنْ لَايَخْفٰى عَلَيْهِ شَيْئٌ، يَا مَنْ لَا يَنْقُصُ مِنْ خَزَآئِنِهِ شَيْئٌ، يَا مَنْ لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْئٌ، يَا مَنْ لَايَعْزُبُ عَنْ عِلْمِهِ شَيْئٌ، يَا مَنْ هُوَ خَبِيْرٌ بِكُلِّ شَيْئٍ، يَا مَنْ وَسِعَتْ رَحْمَتُهُ كُلِّ شَيْئٍ ۔
(92) Ay har shay say kifaayat karnay waalay. Har shay ki nigehbaani karnay waalay. Ay woh jis ki koi shabeeh nahin hai. Koi us kay mulk mein izaafah karnay waala nahin hai, us par koi shay makhfi nahin hai. Us kay khazaanah mein kami honay waali nahin hai. Us ka jaisa koi nahin hai. Us kay 'ilm say koi shay ba'eed nahin hai. Woh har shay say baa khabar hai aur us ki rehmat har shay par wus'at rakhnay waali hai.
(93) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مُكْرِمُ، يَا مُطْعِمُ، يَا مُنْعِمُ، يَا مُعْطِيْ، يَا مُغْنِيْ، يَا مُقْنِيْ، يَا مُفْنِيْ، يَا مُحْيِيْ، يَا مُرْضِيْ، يَا مُنْجِيْ۔
(93) Khudaaya mein tujh say teray naam kay waseelay say du'a karta hoon. Ay Karaamat denay waalay, ay Khilaanay waalay, ay Ne'mat denay waalay, ay 'Ataa karnay waalay, ay Ghani banaanay waalay, ay Maal-daar banaanay waalay, ay Fanaa karnay waalay, ay Zindagi denay waalay, ay Raazi karnay waalay, ay Nijaat denay waalay.
(94) يَا اَوَّلَ كُلِّ شَيْئٍ وَاٰخِرَهُ، يَا اِلٰهَ كُلِّ شَيْئٍ وَمَلِيْكَهُ، يَا رَبَّ كُلِّ شَيْئٍ وَصَانِعَهُ، يَا بَارِيَ كُلِّ شَيْئٍ وَخَالِقَهُ، يَا قَابِضَ كُلِّ شَيْئٍ وَبَاسِطَهُ، يَا مُبْدِيَ كُلِّ شَيْئٍ وَمُعِيْدَهُ، يَا مُنْشِيَ كُلِّ شَيْئٍ وَمُقَدِّرَهُ، يَا مُكَوِّنَ كُلِّ شَيْئٍ وَمُحَوِّلَهُ، يَا مُحْيِيْ كُلِّ شَيْئٍ وَمُمِيْتَهُ، يَا خَالِقَ كُلِّ شَيْئٍ وَوَارِثَهُ۔
(94) Ay har shay say Awwal-o-Aakhir. Ay har shay kay Ma'bood-o-Maalik, ay har shay kay Parwardigaar aur Saani'. Ay har shay kay Mowjid aur Khaaliq. Ay har shay mein Wus'at denay waalay aur simatnay waalay. Ay har shay ki ibtidaa aur intihaa kay Maalik. Ay har shay kay Mowjid aur Taqdeer Saaz. Ay har shay kay banaanay waalay aur badalnay waalay. Ay har ek ko Maut-o-Hayaat denay waalay. Ay har shay kay Khaaliq aur Waaris.
(95) يَا خَيْرَ ذَاكِرٍ وَمَذْكُوْرٍ، يَا خَيْرَ شَاكِرٍ وَمَشْكُوْرٍ، يَا خَيْرَ حَامِدٍ وَمَحْمُوْدٍ، يَا خَيْرَ شَاهِدٍ وَمَشْهُودٍ، يَا خَيْرَ دَاعِ وَمَدْعُوٍّ، يَا خَيْرَ مُجِيْبٍ وَمُجَابٍ، يَا خَيْرَ مُؤْنِسٍ وَاَنِيْسٍ، يَا خَيْرَ صَاحِبٍ وَجَلِيْسٍ، يَا خَيْرَ مَقْصُوْدٍ وَمَطْلُوْبٍ، يَا خَيْرَ حَبِيْبٍ وَمَحْبُوْبٍ۔
(95) Ay behtareen yaad karnay waalay aur jisay yaad kiya jaa'ay. Behtareen qadardaani karnay waalay aur jis ka shukr adaa kiya jaa'ay. Behtareen ta'reef karnay waalay aur jis ki hamd ki jaa'ay. Behtareen Shaahid aur behtareen Mash'hood. Behtareen bulaanay waalay aur jisay pukaara jaa'ay. Behtareen qabool karnay waalay aur jis ki baat qabool ki jaa'ay. Behtareen Anees aur Moonis, behtareen Saathi aur Hum Nasheen. Behtareen Matloob-o-Maqsood. Behtareen Habeeb aur behtareen Mehboob.
(96) يَا مَنْ هُوَ لِمَنْ دَعَاهُ مُجِيْبٌ، يَا مَنْ هُوَ لِمَنْ اَطَاعَهُ حَبِيْبٌ، يَا مَنْ هُوَ اِلٰى مَنْ اَحَبَّهُ قَرِيْبٌ، يَا مَنْ هُوَ بِمَنِ اسْتَحْفَظَهُ رَقِيْبٌ، يَا مَنْ هُوَ بِمَنْ رَجَاهُ كَرِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ بِمَنْ عَصَاهُ حَلِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِي عَظَمَتِهِ رَحِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِي حِكْمَتِهِ عَظِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ فِي اِحْسَانِهِ قَدِيْمٌ، يَا مَنْ هُوَ بِمَنْ اَرَادَهُ عَلِيْمٌ۔
(96) Ay du'a karnay waalon ki du'a qabool karnay waalay. Ay itaa'at guzaaron kay dost. Ay chaahnay waalon say qareeb rehnay waalay. Ay taalib-e-hifaazat ki nigehbaani karnay waalay. Ay ummeedwaaron par karam karnay waalay. Ay gunahgaaron ko bardaasht karnay waalay. Ay 'azmat kay baa-wujood mehrbaani karnay waalay. Ay hikmaton kay saath 'azmaton waalay. Ay woh jis ka ehsaan qadeem hai aur jo har maqsood say baa-khabar hai.
(97) اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِاسْمِكَ، يَا مُسَبِّبُ، يَا مُرَغِّبُ، يَا مُقَلِّبُ، يَا مُعَقِّبُ، يَا مُرَتِّبُ، يَا مُخَوِّفُ، يَا مُحَذِّرُ، يَا مُذَكِّرُ، يَا مُسَخِّرُ، يَا مُغَيِّرُ۔
(97) Khudaaya mein tujh say teray hi naam kay waseelay say sawaal kar raha hoon. Ay asbaab faraham karnay waalay, raghbat dilaanay waalay, dilon ko palat denay waalay. Aakhir tak nazar rakhnay waalay. Umoor ki tarteeb denay waalay. Khauf dilaanay waalay. Daraanay waalay. Yaad dilaanay waalay. Qaaboo rakhnay waalay. Taghayyur-o-tabdeeli paida karnay waalay.
(98) يَا مَنْ عِلْمُهُ سَابِقٌ، يَا مَنْ وَعْدُهُ صَادِقٌ، يَا مَنْ لُطْفُهُ ظَاهِرٌ، يَا مَنْ اَمْرُهُ غَالِبٌ، يَا مَنْ كِتَابُهُ مُحْكَمٌ، يَا مَنْ قَضَآؤُهُ كَاۤئِنٌ، يَا مَنْ قُرْاٰنَهُ مَجِيْدٌ، يَا مَنْ مُلْكُهُ قَدِيْمٌ، يَا مَنْ فَضْلُهُ عَمِيْمٌ، يَا مَنْ عَرْشُهُ عَظِيْمٌ۔
(98) Ay woh jis ka 'ilm saabq hai aur us ka wa'dah saadiq hai. Us ka lutf zaahir hai aur us ka amr ghaalib hai. Us ki kitaab muhkam hai aur us ka faislah ba-har-haal honay waala hai. Us ka Qur'aan Majeed hai aur us ka mulk qadeem hai. Us ka fazl 'aam hai aur us ka 'arsh 'azeem hai.
(99) يَا مَنْ لَايَشْغَلُهُ سَمْعٌ عَنْ سَمْعٍ، يَا مَنْ لَايَمْنَعُهُ فِعْلٌ عَنْ فِعْلٍ، يَا مَنْ لَا يُلْهِيْهِ قَوْلٌ عَنْ قَوْلٍ، يَا مَنْ لَا يُغْلِطُهُ سُؤَالٌ عَنْ سُؤَالٍ، يَا مَنْ لَايَحْجُبُهُ شَيْئٌ عَنْ شَيْئٍ، يَا مَنْ لَا يُبْرِمُهُ اِلْحَاحُ الْمُلِحِّيْنَ، يَا مَنْ هُوَ غايَةُ مُرَادِ الْمُرِيْدِيْنَ، يَا مَنْ هُوَ مُنْتَهٰى هِمَمِ الْعَارِفِيْنَ، يَا مَنْ هُوَ مُنْتَهٰى طَلَبِ الطَّالِبِيْنَ، يَا مَنْ لَا يَخْفٰى عَلَيْهِ ذَرَّةٌ فِي الْعَالَمِيْنَ۔
(99) Ay woh jis ki ek aawaaz ka sunna doosri say ghaafil nahin banaata hai aur ek 'aml doosray say rokta nahin hai. Usay koi qaul doosray qaul say ghaafil nahin karta hai. Aur koi sawaal doosray sawaal say mushtabah nahin banaata hai. Us kay liye koi shay doosray say haajib nahin hai aur usay faryaadiyon ki faryaad tang dil nahin banaati hai. Woh tamaam mureedon ki aakhiri muraad hai aur tamaam ahl-e-ma'rifat kay khayaalaat ki aakhiri hadd hai. Woh tamaam talabgaaron ki aakhiri manzil hai aur us par kaa'inaat ka koi zarrah makhfi nahin hai.
(100) يَا حَلِيمًا لَا يَعْجَلُ، يَا جَوْادًا لَا يَبْخَلُ، يَا صَادِقًا لَا يُخْلِفُ، يَا وَهَّابًا لَا يَمَلُّ، يَا قَاهِرًا لَا يُغْلَبُ، يَا عَظِيْمًا لَا يُوْصَفُ، يَا عَدْلًا لَا يَحِيْفُ، يَا غَنِيًّا لَا يَفْتَقِرُ، يَا كَبِيْرًا لَا يَصْغَرُ، يَا حَافِظًا لَا يَغْفَلُ سُبْحَانَكَ، يَا لَآ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ الْغَوْثَ الْغَوْثَ خَلِّصْنَا مِنَ النَّارِ يَارَبِّ۔
(100) Ay woh Haleem jo sazaa mein 'ajlat nahin karta hai. Woh Jawaad jo bukhl nahin karta hai. Woh Saadiq jo khilaaf-e-wa'dah nahin karta hai. Woh 'ataa karnay waala jo khastah haal nahin hota hai. Woh Qaahir jo maghloob nahin hota hai. Woh Saahib-e-'Azmat jis ki 'azmat ki tawsif nahin ho sakti hai. Woh 'Aadil jis kay 'adl mein zulm ka imkaan nahin hai. Woh Ghani jo faqeer nahin ho sakta hai. Woh Kabeer jo chhota nahin ho sakta hai aur woh Muhaafiz jo kabhi ghaafil nahin ho sakta hai. Tu Paak-o-Be-Niyaaz teray 'ilaawah koi Khuda nahin hai. Faryaad hai Faryaad. Maalik! Hamain aatish-e-jahannum say aazaad kar day.