Dua-e-Sabah Hazrat Ameer (a.s)
(Baaz mashhoor duaon ke zikr mein jin mein se Ameer-ul-Momineen Alaihis Salam ki yeh Dua-e-Sabah bhi hai.)
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Banaam Khudaay-e-Rahmaan-o-Raheem
اَللّٰهُمَّ يَا مَنْ دَلَعَ لِسَانَ الصَّبَاحِ بِنُطْقِ تَبَلُّجِهِ
Ay woh Khuda jis nay subh ki zabaan ko roshni ki goyaa'i say nooraani farmaya hai
وَ سَرَّحَ قِطَعَ اللَّيْلِ الْمُظْلِمِ بِغَيَاهِبِ تَلَجْلُجِهِ
aur andheri raat kay ṭukṛon ko haul angez taareekiyon ko saath aazaad farmaya hai
وَ اَتْقَنَ صُنْعَ الْفَلَكِ الدَّوَّارِ فِيْ مَقَادِيْرِ تَبَرُّجِهِ
aur falak-e-dawwaar ki san'at ko burjon ki miqdaar say mustahkam farmaya hai
وَ شَعْشَعَ ضِيَاۤءَ الشَّمْسِ بِنُوْرِ تَاَجُّجِهِ
aur aaftaab ki roshni ko bharkat'ay huay noor say taabindah qaraar diya hai.
يَا مَنْ دَلَّ عَلٰى ذَاتِهِ بِذَاتِهِ
Ay woh Khuda jo apni Zaat kay liye khud hi rahnuma hai
وَ تَنَزَّهَ عَنْ مُجَانَسَةِ مَخْلُوْقَاتِهِ
aur tamaam makhlooqaat ki mushaabihat
وَ جَلَّ عَنْ مُلَاۤءَمَةِ كَيْفِيَّاتِهِ
ya un kay kaifiyaat ki munaasibat say buland tar aur paakeezah hai.
يَا مَنْ قَرُبَ مِنْ خَطَرَاتِ الظُّنُوْنِ
Ay woh Khuda jo khayaalaat say qareeb tar
وَ بَعُدَ عَنْ لَحَظَاتِ الْعُيُوْنِ
aur aankhon kay mushaahidah say door tar hai
وَ عَلِمَ بِمَا كَانَ قَبْلَ اَنْ يَكُوْنَ
aur har cheez ko us kay wujood kay pehlay say jaanta hai.
يَا مَنْ اَرْقَدَنِيْ فِيْ مِهَادِ اَمْنِهِ وَ اَمَانِهِ
Ay woh Khuda jis nay mujhay amn-o-amaan kay gehwaarah mein sulaaya
وَ اَيْقَظَنِيْ اِلٰى مَا مَنَحَنِيْ بِهِ مِنْ مِنَنِهِ وَ اِحْسَانِهِ
aur ehsaanaat-o-in'aamaat ki dunya mein bedaar kiya
وَ كَفَّ اَكُفَّ السُّوۤءِ عَنِّيْ بِيَدِهِ وَ سُلْطَانِهِ
aur buraa'i kay haathon ko apnay haathon say aur apni taaqat say radd kar diya.
صَلِّ اللّٰهُمَّ عَلَى الدَّلِيْلِ اِلَيْكَ فِي اللَّيْلِ الْاَلْيَلِ،
Rehmat naazil farma us insaan par jo andheri raat mein teri taraf rahnuma'i karnay waala
وَ الْمَاسِكِ مِنْ اَسْبَابِكَ بِحَبْلِ الشَّرَفِ الْاَطْوَلِ
aur 'azeem tareen sharaf kay har waseelah say tamassuk karnay waala
وَ النَّاصِعِ الْحَسَبِ فِي ذِرْوَةِ الْكَاهِلِ الْاَعْبَلِ
aur bulandiyon kay 'azeem darjah par hai roshan tareen hasb-o-nasb rakhnay waala
وَ الثَّابِتِ الْقَدَمِ عَلٰى زَحَالِيْفِهَا فِي الزَّمَنِ الْاَوَّلِ
aur mushkilaat mein roz-e-awwal say saabit qadam rehnay waala hai
وَ عَلٰى اٰلِهِ الْاَخْيَارِ الْمُصْطَفَيْنَ الْاَبْرَارِ
aur us ki us Aal par jo naik kirdaar aur muntakhab hai.
وَ افْتَحِ اللّٰهُمَّ لَنَا مَصَارِيْعَ الصَّبَاحِ
Khudaaya hamaaray liye subh kay darwaazon ko
بِمَفَاتِيْحِ الرَّحْمَةِ وَ الْفَلَاحِ
rehmat-o-falaaḥ ki kunjiyon say khol
وَ اَلْبِسْنِيْ اَللّٰهُمَّ مِنْ اَفْضَلِ خِلَعِ الْهِدَايَةِ وَ الصَّلَاحِ
aur hamain hidaayat-o-salaaḥ ka behtareen libaas 'ataa farma.
وَ اغْرِسِ اللّٰهُمَّ بِعَظَمَتِكَ فِي شِرْبِ جَنَانِيْ يَنَابِيْعَ الْخُشُوْعِ
Apni 'azmat say hamaaray dilon mein khush'oo-o-khuzoo' kay chashmay raasikh farmaa day
وَ اَجْرِ اللّٰهُمَّ لِهَيْبَتِكَ مِنْ اٰمَاقِيْ زَفَرَاتِ الدُّمُوْعِ
aur apni haybat say hamaari aankhon say aansu'on ko jaari kar day.
وَ اَدِّبِ اللّٰهُمَّ نَزَقَ الْخُرْقِ مِنِّيْ بِاَزِمَّةِ الْقُنُوْعِ۔
Hamaari be-raah-rawi ko qanaa'at aur khuzoo' kay ehtimaam ko mu'addab banaa day.
اِلٰهِيْ اِنْ لَمْ تَبْتَدِئْنِيْ الرَّحْمَةُ مِنْكَ بِحُسْنِ التَّوْفِيْقِ
Khudaaya agar teri rehmat nay behtareen tawfeeq say hamaaray kaamon ka aaghaaz nah kiya
فَمَنِ السَّالِكُ بِيْ اِلَيْكَ فِيْ وَاضِحِ الطَّرِيْقِ
to hamain roshan raastah par lay jaanay waala kaun hoga
وَ اِنْ اَسْلَمَتْنِيْ اَنَاتُكَ لِقَاۤئِدِ الْاَمَلِ وَ الْمُنٰى
aur agar teri mohlat nay hamain ummeedon aur khwaahishaat kay qaa'ideen kay hawaalay kar diya
فَمَنِ الْمُقِيْلُ عَثَرَاتِيْ مِنْ كَبَوَاتِ الْهَوٰى
to hamaari laghzishon ko khwaahishaat ki ṭhokar say bachaanay waala kaun hoga
وَ اِنْ خَذَلَنِيْ نَصْرُكَ عِنْدَ مُحَارَبَةِ النَّفْسِ وَ الشَّيْطَانِ
aur agar nafs-o-shaitaan ki jang mein teri madad kay saath chhoṛ diya
فَقَدْ وَكَلَنِيْ خِذْلَانُكَ اِلٰى حَيْثُ النَّصَبُ وَ الْحِرْمَانُ۔
to goyaa kay tu nay hum ko sakhti aur naa ummeedi kay hawaalay kar diya.
اِلٰهِيْ اَتَرَانِيْ مَا اَتَيْتُكَ اِلَّا مِنْ حَيْثُ الْاٰمَالُ
Khudaaya tujhay ma'loom hai kay mein teri baargaah mein sirf ummeedon kay sahaaray aaya hoon
اَمْ عَلِقْتُ بِاَطْرَافِ حِبَالِكَ اِلَّا حِيْنَ بَاعَدَتْنِيْ ذُنُوْبِيْ عَنْ دَارِ [صِرْبَةِ] الْوِصَالِ
aur mein nay teray reesmaan-e-karam ko us waqt pakṛa hai jab mujhay gunaahon nay teray daar-ul-wiṣaal say door phenk diya hai.
فَبِئْسَ الْمَطِيَّةُ الَّتِي امْتَطَتْ نَفْسِيْ مِنْ هَوَاهَا
Woh bad tareen sawaari hai jis par mera nafs khwaahishaat samet sawaar ho gaya hai.
فَوَاهَا لَهَا لِمَا سَوَّلَتْ لَهَا ظُنُوْنُهَا وَ مُنَاهَا
Ḥaif hai us nafs kay liye un khayaalaat aur ummeedon ki bina par ḥaif hai us nafs kay liye un khayaalaat aur ummeedon ki bina par
وَ تَبَّا لَهَا لِجُرْاَتِهَا عَلٰى سَيِّدِهَا وَ مَوْلَاهَا
jo us kay saamnay aaraastah ho ga'een aur halaakat hai us kay liye kay us nay apnay Sardaar-o-Mawla kay saamnay jur'at-o-jasaarat ka muzaahirah kiya hai.
اِلٰهِيْ قَرَعْتُ بَابَ رَحْمَتِكَ بِيَدِ رَجَاۤئِي
Khudaaya mein nay ummeedon kay haathon teray baab-e-rehmat ko khaṭkhaṭaaya hai
وَ هَرَبْتُ اِلَيْكَ لَاجِئَا مِنْ فَرْطِ اَهْوَاۤئِي
aur khwaahishaat kay mazaalim say teri panaah mein bhaag kar aaya hoon
وَ عَلَّقْتُ بِاَطْرَافِ حِبَالِكَ اَنَامِلَ وَلَاۤئِي
mein nay apni muhabbat ki ungliyon say teri reesmaan-e-hidaayat ko pakṛ liya hai.
فَاصْفَحِ اللّٰهُمَّ عَمَّا كُنْتُ [كَانَ] اَجْرَمْتُهُ مِنْ زَلَلِيْ وَ خَطَاۤئِيْ
Ab meri tamaam khataa'on ko aur laghzishon ko ma'aaf kar day
وَ اَقِلْنِيْ مِنْ صَرْعَةِ رِدَاۤئِيْ
aur mujhay halaakat ki tabaahi say bachaa lay.
فَاِنَّكَ سَيِّدِيْ وَ مَوْلَايَ وَ مُعْتَمَدِيْ وَ رَجَاۤئِي،
Tu mera Sardaar, mera Mawla, mera Mo'tamad aur meri ummeedon ka markaz hai.
وَ اَنْتَ غَايَةُ مَطْلُوْبِيْ وَ مُنَايَ فِيْ مُنْقَلَبِيْ وَ مَثْوَايَ
Tu mera aakhiri matloob aur dunya-o-aakhirat mein meri aakhiri aarzoo hai.
اِلٰهِيْ كَيْفَ تَطْرُدُ مِسْكِيْنًا الْتَجَاَ اِلَيْكَ مِنَ الذُّنُوْبِ هَارِبًا
Khudaaya is miskeen ko kis tarah haṭaa day ga jo gunaahon say bhaag kar teri panaah mein aaya hai
اَمْ كَيْفَ تُخَيِّبُ مُسْتَرْشِدًا قَصَدَ اِلٰى جَنَابِكَ سَاعِيًا [صَاقِبًا]
aur us taalib-e-hidaayat ko kaisay naa-ummeed kar day ga jo dauṛ kar teri janaab mein aaya hai
اَمْ كَيْفَ تَرُدُّ ظَمْاٰنَ وَرَدَ اِلٰى حِيَاضِكَ شَارِبًا
is piyaasay ko kaisay palṭaa day ga jo teray ḥauz par seeraab honay kay liye waarid hua hai.
كَلَا وَ حِيَاضُكَ مُتْرَعَةٌ فِيْ ضَنْكِ الْمُحُوْلِ
Yaqeenan yeh naamumkin hai kay teray daryaa-e-rehmat khushk tareen zameenon par bhi chhalak rahay hain
وَ بَابُكَ مَفْتُوْحٌ لِلطَّلَبِ وَ الْوُغُوْلِ
aur baab-e-karam har talabgaar kay liye khulaa hua hai.
وَ اَنْتَ غَايَةُ الْمَسْئُوْلِ [السُّؤْلِ] وَ نِهَايَةُ الْمَأْمُوْلِ
Tu aakhiri mas'ool hai aur aakhiri markaz-e-ummeed hai.
اِلٰهِيْ هٰذِهِ اَزِمَّةُ نَفْسِيْ عَقَلْتُهَا بِعِقَالِ مَشِيَّتِكَ
Khudaaya yeh meray nafs ki zamaam hai jis ko mein nay teri mashiyyat say baandh diya hai
وَ هٰذِهِ اَعْبَاۤءُ ذُنُوْبِي دَرَأْتُهَا بِعَفْوِكَ وَ رَحْمَتِكَ،
aur yeh meray gunaahon ka bojh hai jis ko mein teray 'afw-o-karam say haṭaana chahta hoon.
وَ هٰذِهِ اَهْوَاۤئِيَ الْمُضِلَّةُ وَكَلْتُهَا اِلٰى جَنَابِ لُطْفِكَ وَ رَأْفَتِكَ
Yeh meray gunaah gumraah kun khwaahishaat hain jin ko mein nay teray lutf-o-karam ki baargaah kay hawaalay kar diya hai.
فَاجْعَلِ اللّٰهُمَّ صَبَاحِيْ هٰذَا نَازِلًا عَلَيَّ بِضِيَاۤءِ الْهُدٰى
Ab meri subh ko aisa banaa day kay hidaayat ki roshni mujh par naazil ho
وَ بِالسَّلَامَةِ [السَّلَامَةِ] فِي الدِّيْنِ وَ الدُّنْيَا
aur meray deen-o-dunya donon salaamat rahein.
وَ مَسَاۤئِيْ جُنَّةً مِنْ كَيْدِ الْعِدٰى [الْاَعْدَاۤءِ]
Meri shaam ko dushmanon kay sharr say
وَ وِقَايَةً مِنْ مُرْدِيَاتِ الْهَوٰى
aur gumraah kun khwaahishaat ki halaakaton say mahfooz banaa day.
اِنَّكَ قَادِرٌ عَلٰى مَا تَشَاۤءُ
Tu har shai' par Qaadir hai.
تُؤْتِي الْمُلْكَ مَنْ تَشَاۤءُ
Jis ko chaahay mulk day sakta hai
وَ تَنْزِعُ الْمُلْكَ مِمَّنْ تَشَاۤءُ
aur jis say chaahay mulk lay sakta hai.
وَ تُعِزُّ مَنْ تَشَاۤءُ
Jis ko chahta hai 'izzat deta hai
وَ تُذِلُّ مَنْ تَشَاۤءُ
aur jisay chahta hai zaleel kar deta hai.
بِيَدِكَ الْخَيْرُ
Khair teray hi haathon mein hai
اِنَّكَ عَلٰى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيْرٌ
aur tu har shai' par Qaadir hai.
تُوْلِجُ اللَّيْلَ فِي النَّهَارِ
Tu raat ko din mein
وَ تُوْلِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ
aur din ko raat mein daakhil kar deta hai.
وَ تُخْرِجُ الْحَيَّ مِنَ الْمَيِّتِ
Zindah ko murdah say
وَ تُخْرِجُ الْمَيِّتَ مِنَ الْحَيِّ
aur murdah ko zindah say nikaal leta hai.
وَ تَرْزُقُ مَنْ تَشَاۤءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ
Jo jisay chaahay be-hisaab rizq 'ataa farma deta hai.
لَا اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Teray 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
سُبْحَانَكَ اللّٰهُمَّ وَ بِحَمْدِكَ
Tu Paak-o-Paakeezah hai aur qaabil-e-hamd-o-sitaa'ish hai.
مَنْ ذَا يَعْرِفُ قَدْرَكَ فَلَا يَخَافُكَ،
Kaun aisaa hai jo teri qadr ko jaanta ho aur tujh say ḍarta nah ho
وَ مَنْ ذَا يَعْلَمُ مَا اَنْتَ فَلَا يَهَابُكَ
aur kaun aisaa hai jo tujhay pehchaanta ho aur khaufzadah nah ho.
اَلَّفْتَ بِقُدْرَتِكَ الْفِرَقَ
Tu nay apni qudrat say mutafarriqaat ko joṛ diya hai
وَ فَلَقْتَ بِلُطْفِكَ الْفَلَقَ
aur subh ko roshan kar diya hai
وَ اَنَرْتَ بِكَرَمِكَ دَيَاجِيَ الْغَسَقِ
tu nay apnay karam say andheri raaton ko nooraani banaa diya hai
وَ اَنْهَرْتَ الْمِيَاهَ مِنَ الصُّمِّ الصَّيَاخِيْدِ عَذْبًا وَ اُجَاجًا
aur sakht tareen chaṭaanon say sheerin aur namkeen chashmay jaari kar di'ay hain.
وَ اَنْزَلْتَ مِنَ الْمُعْصِرَاتِ مَاۤءً ثَجَّاجًا
Tu nay baadlon say paani barsaaya hai
وَ جَعَلْتَ الشَّمْسَ وَ الْقَمَرَ لِلْبَرِيَّةِ سِرَاجًا وَهَّاجًا
aur aaftaab-o-mahtaab ko logon kay liye dhaṛakta hua roshan chiraagh banaa diya hai
مِنْ غَيْرِ اَنْ تُمَارِسَ فِيْمَا ابْتَدَأْتَ بِهِ لُغُوْبًا وَ لَا عِلَاجًا
aur phir un tamaam cheezon ki eejaad mein tujhay nah koi zahmat hu'i hai aur nah koi mashaqqat bardaasht karna paṛi hai.
فَيَا مَنْ تَوَحَّدَ بِالْعِزِّ وَ الْبَقَاۤءِ
Ay woh Khuda jo 'izzat-o-baqaa mein akelaa hai
وَ قَهَرَ عِبَادَهُ بِالْمَوْتِ وَ الْفَنَاۤءِ
aur jis nay saaray bandon ko maut aur fanaa kay zariyeh dabaa diya hai
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ الْاَتْقِيَاۤءِ
Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) aur un ki muttaqi Aal par rehmat naazil farma.
وَ اسْمَعْ نِدَاۤئِيْ، وَ اسْتَجِبْ دُعَاۤئِيْ
Meri aawaaz ko sun lay. Meri du'a ko qabool kar lay
وَ حَقِّقْ بِفَضْلِكَ اَمَلِيْ وَ رَجَاۤئِيْ
aur meri ummeedon ko poora farmaa day.
يَا خَيْرَ مَنْ دُعِيَ لِكَشْفِ الضُّرِّ
Ay woh Khuda jis ko ranj-o-gham ko door karnay kay liye pukaara gaya
وَ الْمَأْمُوْلِ لِكُلِّ [فِيْ كُلِ] عُسْرٍ وَ يُسْرٍ
aur jis say har mushkil mein ummeed ki jaati hai.
بِكَ اَنْزَلْتُ حَاجَتِيْ فَلَا تَرُدَّنِيْ مِنْ سَنِيِّ [بَابِ] مَوَاهِبِكَ خَاۤئِبًا
Mein nay teri baargaah mein apni haajaton ko pesh kar diya hai. Ab mujhay apnay buland tareen 'ataayaa say maayoos waapas nah karnā
يَا كَرِيْمُ يَا كَرِيْمُ يَا كَرِيْمُ
Ay Kareem. Ay Kareem. Ay Kareem.
بِرَحْمَتِكَ يَاۤ اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ
Teri rehmat ka waastah kay tu sab say ziyadah rehmat karnay waala hai.
وَ صَلَّى اللهُ عَلٰى خَيْرِ خَلْقِهِ
Parwardigaar behtareen makhlooqaat Hazrat Muhammad (S.A.W.W.)
مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ اَجْمَعِيْنَ۔
aur un ki tamaam Aal par salawaat naazil farma'ay.
اِلٰهِيْ قَلْبِيْ مَحْجُوْبٌ
Khudaaya mera dil sharmindah hai.
وَ نَفْسِيْ مَعْيُوْبٌ
Mera nafs ma'yoob hai.
وَ عَقْلِيْ مَغْلُوْبٌ
Meri 'aql maghloob hai.
وَ هَوَاۤئِيْ غَالِبٌ
Meray khwaahishaat ghaalib hain
وَ طَاعَتِيْ قَلِيْلٌ
meri itaa'at qaleel
وَ مَعْصِيَتِيْ كَثِيْرٌ
aur meri ma'siyyat katheer hai
وَ لِسَانِيْ مُقِرٌّ بِالذُّنُوْبِ
aur meri zabaan gunaahon ki iqraari hai
فَكَيْفَ حِيْلَتِيْ
to us kay ba'd kya chaarah kaar hai.
يَا سَتَّارَ الْعُيُوْبِ
Ay 'uyoub ko chhipaanay waalay
وَ يَا عَلَّامَ الْغُيُوْبِ
aur ghaib kay jaan'nay waalay
وَ يَا كَاشِفَ الْكُرُوْبِ
aur ranj-o-gham kay door karnay waalay.
اغْفِرْ ذُنُوْبِيْ كُلَّهَا
Meray tamaam gunaahon ko
بِحُرْمَةِ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Hazrat Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) ki hurmat kay waastay say ma'aaf kar day.
يَا غَفَّارُ يَا غَفَّارُ يَا غَفَّارُ
Ay Bakhshnay waalay. Ay Ghaffaar. Ay Ma'aaf karnay waalay
بِرَحْمَتِكَ يَاۤ اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ۔
Teri rehmat ka waastah Ay sab say ziyadah mehrbaani karnay waalay.