ENGLISH | اردو | Roman | Azerbaijani
🏠 🔍
0:00
اَلسَّلَامُ عَلَى الشَّجَرَةِ النَّبَوِيَّةِ
Salaam ho Nubuwwat kay Shajarah-e-Tayyibah
وَ الدَّوْحَةِ الْهَاشِمِيَّةِ الْمُضِيْئَةِ
aur Bani Haashim kay 'Azeem Darakht-e-Karam par jo roshni bakhsh hai
الْمُثْمِرَةِ بِالنُّبُوَّةِ
aur Nubuwwat ka samar denay waala
الْمُوْنِقَةِ [الْمُوْنِعَةِ] بِالْاِمَامَةِ
aur Imaamat kay phoolon say aaraastah hai
وَ عَلٰى ضَجِيْعَيْكَ اٰدَمَ وَ نُوْحٍ
aur aap kay donon hamsaayah Janaab Aadam ('A.S.)-o-Nooh ('A.S.)
عَلَيْهِمَا السَّلَامُ
par salaam ho
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ وَ عَلٰى اَهْلِ بَيْتِكَ
Salaam ho aap par aur aap kay Ahl-e-Bait ('A.S.)
الطَّيِّبِيْنَ الطَّاهِرِيْنَ
Tayyibeen-o-Taahireen par
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ وَ عَلَى الْمَلَاۤئِكَةِ الْمُحْدِقِيْنَ بِكَ
Salaam ho aap par aur un malaa'ikah par
وَ الْحَافِّيْنَ بِقَبْرِكَ
jo aap ki qabr kay gird jam' hain
يَا مَوْلَايَ يَا اَمِيْرَ الْمُؤْمِنِيْنَ
Ay Mawla Ay Ameer ul-Mo'mineen ('A.S.)
هٰذَا يَوْمُ الْاَحَدِ
Yeh Yaksunbah ka din hai
وَ هُوَ يَوْمُكَ وَ بِاسْمِكَ
jo aap ka hai aur aap kay naam say hai
وَ اَنَا ضَيْفُكَ فِيْهِ وَ جَارُكَ
aur is mein mein aap ka mehmaan hoon aur aap ki panaah mein hoon.
فَاَضِفْنِي يَا مَوْلَايَ وَ اَجِرْنِيْ
Meri ziyaafat farma'ein aur mujhay panaah dein kay
فَاِنَّكَ كَرِيْمٌ تُحِبُّ الضِّيَافَةَ
aap Kareem hain aur ziyaafat ko pasand kartay hain
وَ مَأْمُوْرٌ بِالْاِجَارَةِ
aur panaah denay kay ma'moor hain
فَافْعَلْ مَا رَغِبْتُ اِلَيْكَ فِيْهِ
Jo mein chahta hoon wohi bartaa'o meray saath karain
وَ رَجَوْتُهُ مِنْكَ
aur jo meri ummeedein hain unhein poora farma'ein
بِمَنْزِلَتِكَ وَ اٰلِ بَيْتِكَ عِنْدَ اللّٰهِ
is manzil at kay waastah say jo aap ko aur aap kay ghar waalon ko Allah kay yahan haasil hai
وَ مَنْزِلَتِهِ عِنْدَكُمْ
aur jo Khuda ki manzil at aap hazraat kay nazdeek hai
وَ بِحَقِّ ابْنِ عَمِّكَ رَسُولِ اللّٰهِ
aur aap kay bhaa'i Rasool-e-Akram kay haqq ka waastah
صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَ اٰلِهِ وَ سَلَّمَ
Sallallahu 'Alaihi wa Aalihi wa Sallam
وَ عَلَيْهِمْ [عَلَيْكُمْ‏] اَجْمَعِيْنَ۔
Allah aap sab par rehmatain naazil karay.